Last Updated: 5 years ago• Featured Tip
Hello,
Main healer Santosh Kumar pandey. Aaj aapke liye ek bohot hi special topic lekar ke aaya hoon and actually its why special because jis tarah se maine patients dekhe hain, jis tarah ke maine is case ke liye patient dekhe hain and that is called tinnitus aur itni taklif lekar ke aate hain, itni vedna hoti hai unke chehre per, unke expressions mein wo main aapke sath aise share nahin kar sakta jitna unko dekhne ke baad mujhe samjh mein aata hai but ek acchi khabar hai unke liye ya tinnitus patiento ke liye ya is tarah se jo bohot jyada safar kar sakte hain, ho sakta hai wo yahan se nahin hai, Bombay se nahin hai kyunki main Bombay mein practice karta hoon puri duniya mein ho, pure hamare Bharat varsh mein suffer kar rahe ho unke liye ek bohot acchi khabar hai ki wo khud se bhi apne aap ko heal kar sakte hain to uske liye maine bohot sari mehnat kari, bohot sari koshish kari aur bohot sara humne sikha after seeing so many patients to usko mujhe aaj aapke sath share karna hai. Sabse pehle tinnitus kya hai? Wo batana chahunga so tinnitus ek aisi bimari hai aapke kaan se related, kaan se related kyon bole raha hoon kyunki inner ear & outer ear sab uske sath involve hain aur sab uske sath auditory nerve involve hota hai, internal bones bhi uske sath jo ear ke hote hain, drum be involved hota hai to usko mujhe is tarah se bolna padta hai ki kaan se related.
So tinnitus mein ek tarah ki awaaz aati hai wo awaaz humming sound ho sakti hai, uske sath ringing sound ho sakti hai, bell jaisa tann karke awaaz hota hai, kisi kisi ko hissing sound bhi hota hai jaise hiss is tarah ki feeling aati hai aur patient raat ko ekka-ek soya hua patient jag ke baith jata hai. So ye jo dard hai ye jo taklif hai aur jab regular chalta rahata hai 2 din, 4 din, 10 din, 20 din, ek mahina, uske baad wo doctor ko dekhna shuru karta hai ya kabhi-kabhi dusre-tisre din ke baad se doctor ko dekhna shuru karta hai lots of ENT doctor he goes,but sometimes there is no any help because abhi tak iska koi bhi samuchit ilaaj nahin mila paya matlab ekdam se effective ilaaj abhi tak nahin mil paya to so jo dard se suffer karte hain usmein hum logo ne bohot sare technique ijjat kari. Ab main bohot khushi ke sath aapke sath share karna chahta hoon ki ham log ismein bohot hi jyada safalta pa rahe hain hamara treatment ismein bohot hi effective hai, we do various types of treatments so that is actually mostly at Shenmen Healing Centre matlab hamare centre main iske upar kaam kar rahe the bohot acche results aane lage gye hain usmein acupuncture hai, usmein hydrogen therapy hai.
So ye teen-char cheezon ka combination hai uske sath kuch exercise hai jo ham log patient ko sikhate hain hain to main chahta hoon ki aap kahin bhi ho desh bhar mein bohot sari cheezen hai jo har jagah available nahin hoti but doston aajkal acupuncture bohot popular hai, acupressure bohot popular hai to agar aapke pass najdeek mein koi ek achcha doctor khojiye aur unke sath apni problem ko share kariye and start doing your treatment there and along with that jo main aapko aaj ek technicque sikhane ja raha hoon usko aap regular practice kariye you will be very happy and will get results also into all these things so aap please isko practice kare main aapko abhi usko sikhane ja raha hun please dhyan se isko dekhiye.
Sabse pehle main aapko bataun kya karna hai? Aap apne kaan Aise dekhiae, is tarah se yahan per dekhenge ye jo ear ka tip hai puri traha se apki ungli ko rakha aur karna kya hai aapko? iske circle mein aapka jo ear ka surface hai uske circle mein puri tarah se rounded-circle mein aapko tapping karni hai. Kaise karni hai? abh dekhen aapne do ungliya le liya aur start kiya aapne tip of the ear se kis tarah se 1,2,3,4,5,6,7,8,9,10 so 10 times is tarah se circle mein puri tarah se ear ke circle mein agar ek kaan mein mostly problem hota hai lekin kabhi-kabhi kisi patient ko dono kanon mein hota hai lekin aap donon taraf kar sakte hain. Kyunki iska koi side effect nahin hai sabse pahle baat dusra ek elderly age mein bhi logon ko hearing loss shuru ho jaata hai so uske liye bhi ye bohot achcha hai. Tinnitus ke case mein bhi bohot sare case mein dekh raha hoon ki tinnitus sath-sath wo sound ke sath-sath, ringing ke sath sath unki hearing loss bhi hoti hai to to hearing loss ke liye very effective blood flow yahaan per puri tarah se ho jata hai healing hoti hai because if you are tapping your ear so you are doing acupressure write? So see 1,2,3,4,5,6,7,8,9,10 issi tarah se pure kaan ke surface main aapko isko 10-10 ke counts mein din bher mein do baar ye exercise karni hai.
Uske baad aapne is tarah se apni do ungaliyan li apni aur ek kaan mein aapki middle finger, aapke kaan ke aage aur apki index finger aapke kaan ke piche ish tarah se 1,2,3,4,5,6,7,8, 9,10. 10-10 ka selection karenge 10-10 times aapke kaan ke age-piche is tarah se rub karenge is tarah 2 se 3 bar ek din main kariye isko aur jab bhi kabhi attack ataa hai matlab tinnitus ka jor se use samay isko regular karte rahiye. This finger aur this finger is tarah se apke kaan ke hole mein dalenge aur softly is tarah se isko ghumayenge ye tin ho gaya. Fourth exercise is what? is tarah se aapne Index finger ko liya apne kaan mein dala aur kis tarah se bhavware ka gunjan hota hai, jis tarah se bhavra gunjan karta hai us tarah se aapko aawaaz nikalni hai, pehle deep breath lena hai, puri gehri saans leni hai uske baad se ye ungali dono kaan mein daala aapane sawaas bhara aur sawaas bharane ke sath-sath ye ungli se andar donon kaan mein softly vibration dein dekhiye is tarah se aapko 10 bar, same exercise 10 bar karna hai aur fir jo 5th step of the exercise hai wo aapke sar ke piche matlab aapke jo apna baal is tarah se feel kariye ye surface per jayenge posterior jo aapka hair line hai yahan per aapane apna hath rakha ek bar, do bar, teen bar, char bar, panch bar is tarah se aapko isko bhi 10 bar karna hai.
So doston ye exercise aapke liye bohot kam ki hai raat ko sone se pahle isko jarur karen jisko bhi kaan ka problem hai, tinnitus ka problem hai aur uske baad jo hai aaram se thodi lambi gehri sawaas lijiye aur bistar per jaaiye, conditioning kariye, self conditioning kariye ki mujhe tinnitus ko theek karna hai kyunki doston tinnitus jab hota hai to aapki mansik sthiti bigadne lag jaati hai jo mera ab tak ka experience hai, I have seen lots of cases jo puri tarah se bechain ho jaate hain, anxiety badh jaati hai, stress badh jata hai, unko neend nahin aati, doctors unko sleeping pills mein dal dete hain ya fir jo hai anti-depression medicine per dal dete hain . To abh is bimari se ladne ke liye aapko khud bohot powerful hona padta hai aur agar aapne iske sath-sath yeh exercise add kar di hai to main aapko bata sakta hoon ki you can win and you will be 100% cured and you will be feeling very good.
Thank you.