Last Updated: 5 years ago• Featured Tip
Hello,
Mera naam Dr Bharat Bhushan hai. Main 2 varshon se aankhon ka ilaaj kar raha hoon, iske pehle bhi mein practice karta tha to total 8 varshon se mein aankhon mein Ayurvedic paddhti se ilaaj kar raha hoon. Patient : Doctor sahab ye glaucoma kya hota Hai? Doctor : Glaucoma ek kafi khatarnak aankhon ki bimari hai jismein ki jo aankhon ka jo roshani hai wo jaane ka khatra hota hai. Isko silent thief of sight bhi bolte hain ki pata bhi nahi lagta hai ki dheere-dheere hamen blindness aati jaa rahi hai aur sansar ke andar ye second leading disease hai joki blindness ya andhtaa ko karne ka karan hai, pratyek varsh jo hai wo 10 lakh se jyada patient jo hai apne Bharat varsh mein wo glaucoma se grasht hote hain joki dhire-dhire roshni dhire-dhire kamjor hoti chali jaati hai. Glaucoma optic nerve ek problem hai jismein ki aankh ko jo naas hai wo dhire-dhire kamjor hoti jaati hai, aankh ki naas yani ki optic nerve jo retina ke signals ko brain tak le jaane ke kaam karta hai jisse ki ham logon ko dikhta hai to glucoma ke karan se aankh ki jo naas hai hi wo dhire-dhire kharab ho jaati hai.
Patient : Doctor sahab ye glaucoma kyon hota hai? Doctor : Glaucoma vaise to kya hai ki abhi tak iska exactly karan maloom nahin hai ki ye glaucoma kyon hota hai lekin fir bhi agar aap risk factor dekhe to family history hai koi jinko glaucoma hai, unko glaucoma ho sakta hai, 40 sal ki age ke bad mein generally African Americans ko check karna chahiye ki unko glaucoma hone ke chances hai, high myopics hai unko glaucoma hone ke chances hota hai, cornea jinka patla hai jinka thin cornea hai unko glaucoma hone ka chances ho sakta hai, jinko diabetes hai, high blood pressure hai unko aankh ka pressure jada hone ka chances ho sakta hai. Stressful life aajkal ka jo disturb lifestyle hai usko glaucoma hone ka chances hota hai, smoking, alcohol ye karan to nahi hai but risk factor ho sakte hain ki jo log in ko jyada upyog karte hain to unko glaucoma hone ka chances hota hai to ye sab risk factors hai lekin abhi tak exactly nahi pata hai ki glucoma exactly kyon hota hai. Patient : Glaucoma ke lakshan kya-kya hote hain? Doctor : Glaucoma vaise maine aapko bataya ki glaucoma silent thief of sight hai ya isko silent blindness ka karan hai, pata nahi lagta hai ki dheere-dheere roshni kamjor hoti chali jaati hai.
To ya to kisi ko lakshan ho nausea, vomiting, sar-dard jyada ho raha hai to pressure check karke pata lagta hai ki uski aankh ka pressure jyada hai ya incidently patient agar dikhane ke liye ya apna vision check karane ke liye aaya hai to doctor usko dilate karke optic nerve test karta hai to pata lagta hai ki optic nerve mein kharabi agyi hai to bohot majority of the cases mein accidentally pata lagta hai hamen glaucoma hai. Patient : Doctor sahab glaucoma ka ilaj kya hai? Doctor : Glaucoma ka ilaj abhi tak hamara jo aadhunik chikitsa paddhati hai to usmein to sirf aankh ka pressure ko kam karne ke liye antiglaucomatic drops hai us tarah ki jo hamara dusra allopathic mitra hain jo eye doctors hai jo patients ke liye use karte hain aur iske alava kuch-kuch patients mein lasers hai peripheral iridotomy karte hain ya kabhi-kabhi window operation hai jisse ki aankh ka pressure ko bypass karke usko pressure se bachane ke liye koshish karte hain but abhi bhi tak safalta purvak koi bhi iska ilaaj abhi takb sambhav nahi hai. Jahan tak ham log ayurvedic chikitsa karte hain to ham log bhi usko aisa nahi bol sakte hain ki ye purntah theek ho sakta hai lekin jo uska optic nerve dhire-dhire degeneration hota ja raha hai, dheere-dheere kharab ho raha hai ya aankh ka pressure bhi jyada hai to us pressure ko kam kar sakte hain apna ayurvedic treatment se aur pressure kam karne ke sath-sath mein uski optic pressure nerve ko strengthened kiya ja sakta hai ya optic nerve jo kharab ho raha hai usko kharab hone se roka ja sakta hai, aise bhi kuchh patient rahe jinko complete optic atrophy ho gaya ya advance optic atrophy ho gaya.
To aise cases mein bhi kuch positive result dekhne ko mila hai ki jinko vision jaane ke bad bhi thoda vision aaya hai ya peripheral vision usko thoda improve hua hai. To usko ham log as a cure to nahi bol sakte hain but lekin management of glaucoma is possible in the ayurved ya ayurvedic ke netri-chikitsa se glaucoma ko manage kiya ja sakta hai taki patient jo hai apna pura jindagi jo hai safalta purvak nirvaha kare aur apna vision ko accha rakhe. Patient : Doctor sahab glaucoma ke roktham ke liye kya kuch batayen ? Doctor : Roktham ke liye jaisa maine abhi bataya aapko ki glaucoma ke jo risk factors hai usko kam karen agar high myopic hai to apna myopia jyada na bade usko dekhne ka upay karen, regularly apna check up karayen, cornea kamjor hai to cornea ka ilaaj bhi lagatar karayen, sugar hai to sugar control rakhen, sugar ke sath-sath mein glaucoma na hone paye iska upaye karen, blood pressure hai blood pressure ko control rakhen, lifestyle ko theek rakhen, jaldi soye, bohot stressful life na rahe, regular exercise karen, physical exercise hai ya yog, pranayam regular karen, ek aisa ek study abhi AIMS mein hua tha abhi ismein kuch glaucoma patients ka meditation kiya gaya and ye publish bhi hua hai ki meditation se jo eye pressure hai wo down hota hai, iske alava bhi jitna caffeine agar jadaa use karte hain to caffeine ko kam karen, na use karen, alcohol band karen, smoking jyada na karen.
To ye sare ke sare jo risk factors hai, fatty hai, obesity fatty hai to thoda exercise karen to ye sabh thoda dhyan rakhen ki jisse ki glucoma agar family history hai kisi ko glaucoma se to usko apna regular investigation karana chahiye aur glaucoma ko rokane ke upaye karne chahiye, agar ham log bhojan mein dekhen to hari sabjiyan jitni bhi sari ki sari hai ya peele faal jo hai jismein ki carotene jyada rehata hai is tarah ki cheezon ko jaise vitamin A, jaise ki shigru hai ya sehajan ki falli jo bolte hain usmein bohot adhik matra mein vitamin A hota hai. Is tarhan ki cheezon ka upyog karen aur acchi bhojan shaili rahe to jitna ho sake to injuries kam se kam ho aankhon mein, jo regular injuries agar rehti hai to usko bhi glaucoma hone ke chances jyada rehte hain to ye sab rokne ke upaye karen aur agar kisi ko glaucoma pata lag gaya hai to apne najdeek jaldi se jaldi najdeek mein aankh ke doctor ko dikhayen, check karayen, aankh ke pressure ko kam karne ke liye ilaaj karayen, aankh ki naas aage kharab na ho uska ilaaj karayen, chahe wo ayurvedic chikitsak hai ya allopathic chikitsak hai unse dikhayen aur Ayurved chikitsa karne se yeh fayda hai ki uske pressure ko jaldi hi theek kiya ja sakta hai,
kal bhi ek patient ko dekha tha usko pehle pressure jyada tha aur usko surgery advice kiya gaya hai lekin ham logon ne usko kuchh dawai, kuchh din upyog kiya hai to pressure down ho gaya hai aur usko surgery karne ka avashyakta nahin hai aisa AIMS mein jo HOD madam hai unho ne unko bola hai to is tarike se pressure ko kam kiya ja sakta hai ya jo aankh ki naas jo kamjor ho raha hai ya kharab ho raha hai to bohot sari ayurvedic davaiyan hai jinko upyog karke aankh ki naas ko majboot jiya ja sakta hai ya kharab hone se roka ja sakta hai iske alava jo ham therapy karte hain yahan hospital mein pindi hai, vidalak hai ya shirodhara, takradhara ya netradhara, akshiprashalan to itne ye sab inko ham log karen to mujhe lagta hai ki ham log patient ko glaucoma usko nuksan na pahunchaye uski aankh ki naas ko kharab na kare aur jivan jo hai safalta purvak nirvaha kare. To jitna jaldi ho sake usko theek karne ka koshish karna chahiye, apna lifestyle ko healthy rakhen pehle to koshish karen ki na ho agar ho gaya hai to Ayurved netra chikitsa mein glaucoma ka safal ilaaj hai usko theek roop se maintain kiya ja sakta hai quality of life, quality of vision, kyunki netra ke paripeksh main jo quality of vision hai wo patient ko maintain kiya jaa sakta hai jaise ki hamara moto bhi yahi hai ki bharat sarve bhadrani pashyantu sabko achcha dikhna chahiye to uske liye glucoma ko bhi ilaaj karne ke liye bhi Ayurved netra chikitsa mein bohot safal ilaaj sambhav hai.
Thank you.