Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Acidity And Gastric Problem

Profile Image
Dr. Nitin JhaGeneral Surgeon • 25 Years Exp.FAIS, FIAGES, MS - General Surgery, MBBS, MHCD
lybrate_youtube

Hi!

I am Dr. Nitin Jha, Fortis Hospital, Noida me a senior consultant, laparoscopic surgeon hun. Stomach ke major problems ko hum laparoscopic surgery se treatment krte hain. Aaj me sabse common symptoms acidity and gas ke bare me discuss krenge. Kuch logon ko khana khane ke baad peat fulna or gas formation, khatte dakar aana or kbhi kbhi adha pacha hua khana vapsa muh me aana. Ye sab upper GI ke symptoms hote hain. Iska sabse common cause hai gallbladder stones. Iske or bhi symptoms hai jaise muh me kadva pani aana, khatte dakkar aana, indigestion hona. Isko noral condition maanke hum normal tablets lete rehte hain.

Or fir kuch time baad jab pain jhela nhi jata to hum hospital jate hain. Uske baad diagnosis hota hai jisme kbhi gallbladder stone paya jata hai or hiatal hernia milta hai. GERD me khana upar se niche jane ke baad niche se upar bhi aa skta hai. Is bimari me itna major ho jata hai ki stomach bhi chest tak aane lgta hai. Hiatal hernia ko medicines se control krne ki koshish krte hain. Ise prevent krne ke ek baar me heavy khana nhi khana, thoda khana khana or bar bar khana, khana khane ke baad turant nhi letna and thoda walk krna, in sabse isko control kia ja skta hai. Bina surgery ke hi ise thik kia ja skta hai. Lekin in sab ke bad bhi agar ye overcome na ho to surgery di jati hai.

Iska operation laparoscopy se kia jata hai. Laparoscopic nissen fundoplication surgery ka name hai. Isme hum stomach ko niche late hain. Chest and stomach k bich ke gap ko thik kia jata hai. Is se stomach abdominal cavity me rhega and chest me nhi jayega. Isme khana niche ko hi puch krega. Islia simple advice hai ki acidity and gastric problem ko avoid na kren. Iska proper diagnosis bhut important hai taki surgery tak jane ki requirement na pade. Medicines lene se bhi apko problem ho skta hai. Islia kbhi bhi aisa problem ho to consult your surgeon. Agar aap mujhse koi information lena chahen to Lybrate ke through contact kar skate hain.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Gastric Problem treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details