Acidity: How To Get Rid Of It?
I am Lokendra Tomar, weight loss and wellness coach.
I believe in sharing true knowledge so that you can live a disease free life. Acidity ek bhut hi common problem hai jo ghar me kbhi na kbhi kisi na kisi ko ho hi jati hai. To agar ghar me acidity ho jaye to kya kren. Ek bhut hi simple nuskha me apko btata hun ki ghar me acidity ka ilaj kiase kia ja skta hai. 1 glass pani len. Usme thoda sa namak milayein or thoda sa baking soda. Baking soda alkaline hota hai, sodium bicarbonate. So, ye jo pate mein acid hota hai, usko turant neutralize kar deta hai. Or acidity se turant rahat phuchata hai. Baking soda ko aap nimbu pani bnane me bhi use kar skte hain. Or vo bhi bhut tasty lgta hai. Baking soda aap apne ghar me jrur rkhen quki iske or bhi bhut sare fayde hain. Jaise ki kbhi apne salad me payaz khaya or uski smell hoti hai. To aap baking soda se gargle kr len, to smell chali jayegi.
Agar kapde saaf nhi ho rhen hain to detergent ke sath me baking soda mila den, kapde saaf ho jate hain. Ghar me bathroom me nal saaf nhi ho rha hai, to baking soda surf me milake, usko ragad den to vo bhi saaf ho jayega. Agar fridge me badbu aa rhi hai to baking soda ek katori me bhar ke rkh den, or subha se sham tak jab vo fridge me rkha rhega, to vo deodorize ho jata hai. To baking soda ke bhut sare multiple use hain. Aap ghar me baking soda jrur rkhen quki apke lia ye bhut beneficial hai or bhut jyada kam aat hai. Kayi bar jab hum dukan me baking soda khridne k lia jate hain to dukan vala baking powder deta hai. Or kehta hai kid ono chizen ek hi bat hai. Inme koi difference nhi hai. Lekin difference hota hai. Hume baking soda chaiye, baking powder nhi. To inka pehle difference smjh len taki hume khridne me easy ho jaye. Baking soda is pure sodium bicarbonate.
Lekin baking powder sodium bicarbonate k sath kisi ek acid ka combination hota hai. Or baking powder mainly baking me use hota hai. Jab hume bread ya biscuit bnane hote hain taki us se jo carbondioxide release hoti hai, acid or alkaline ke reaction se, vo bread ko uthane me help krta hai. Jiske karan bread spongy ho jata hai. To hume baking powder nhi khridna hai, baking soda khridna hai. Agar ye apko aas pas ki dukanon me nhi mile to aap isko online khrid skte hain. Aaj kal bhut sari websites hain amazon hai, flipkart hai. In sab websites p easily available ho jata hai. Agar mujhse personal consultation krna chahte hain to aap mere clinic p Gurgaon aa skte hain otherwise aap mujhse online bhi consultation le skte hain Lybarte k through. Lybarte app download kijiye or mujhse direct bat kijiye.
Thank You.