Acne
Hello Everyone!
Mera name Dr. Archit Aggarwal hai. Me Faridabad me as a skin specialist practice kerta hun. Aaj me apko acne ke bare me bataunga. Acne matlab muhase and pimples. Vaise ye teenage problem hai jo 13-21 ki age tak hoti hai. Logon ko puri jankari na hone ki vjha se vo thik se treatment nhi le pate hain. Or aise unke face pe scars bhi aa jate hain. Acne scars baad me psychological problems bhi karte hain. Pimples ka reasons kya hai? 12-13 puberty age hoti hai jab body ke hormones badhte hain. Hmara scalp, face, chest, back, in sab me special glands hote hain jinko sebaceous gland bolte hain.
Jab hormones in glands pe act karte hain to body jyada oil or sebum produce kerte hain or jab ye oil bahar nahi nikal pata to ye acne bante hain. In acne me bacterial infection ho sakta hai. Isme pus or keel bhi ban sakti hai. Aaj kal treatment advance ho gaya hai and jitna jaldi treatment start ho jaye utna acha hai. Logon ka myth hai ki agar ek bar treatment karao to baar baar treatment karana pdta hai. Jaruri nahi hai ki acne 25 saal ki age tak hi ho.
Ye problem especially ladies me 35 years ke baad bhi ho sakti hai. Isko acne tarda bolte hain. Is problem ke sath unhe hirsutism ki bhi shikayat hoti hai. Ye hormonal balance se associated hai or isko PCOD bolte hai. Isme menses ka bhi problem hota hai. Usme hume hormonal angel se bhi treat krna pdta hai. Acne age group and severity pe depend krta hai. Agar bahut kum acne hai to vo lagane ki medicines se bhi thik ho sakta hai. Agar severity jayada hai to hume antibiotics deni hoti hai. Acne kahtm kerne ke lia kuch procedures bhi hote hain jaise microdermabrasion, chemical peel. Is se severe acne me aram aata hai. Agar kisiko early age pe acne hua hai or uske baad scarring or gadhe hain to unhe sub-sicion surgery, laser, dermaroller se thik kia jata hai. Kayi log puchte hain ki acne prevent kerne ke lia diet ka kya role hai.
Scientific studies proven hai ki oily products and dairy products acne ko badhati hain. Sath me stress bhi acne ko badahta hai. Stress avoid keren, jyada pani peeyen, vegetarian and fibre rich diet acne me fayada kerti hai.
Take care.