Acupuncture and Sujok Therapy
Namaskar, main Dr. Prakash Jain, acupuncturist, aj me aapko acupuncture ke barein mein thoda bataunga.
Mera parichay:- 18 saal se main practice kar raha hoon, teen saal Delhi mein raha aur solah saal se phir Gurgaon mein hoon.
Acupuncture ek drugless therapy hai. jiss mein koi drug ka istemal kiya nahi jata. Bahut hi mamuli bareek si patli si needle ke dwara, jise sui kaha ja sakta hai, usse ilaaj kia jata hai. Yeh sui aapke kuch chitra kendron par lagate hai aur uske dwara rog o ka ilaaj hota hai. Yeh is prakaar se hota hai ki hamara sharir mein jo bhi blood chal raha hai, jo bhi fluid chal rahe hai is ko chalane wala energy hai. Yeh energy jab bhi ruk jaati hai toh waha blood bhi ruk jaata hai, fluid ka transaction bhi ruk jata hai. Ab yeh ruk kyun jata hai energy ka flow, hamara aahar, vihar ke kaaran, koi bhi accident hua aur energy ki line kat gayi samjho, ya phir galat dhang se hamara khaan paan
galat hai toh iss ke wajah se bhi energy ka flow ruk jaata hai, yaani imbalance hota hai. Hamara janma jaat, kudrat, jo sharir mein energy dete hai, iss ke dwara hamara sampurna vyehwar chalta hai aur yeh energy jab bhi koi bhi kaarano se uss ki rukawat aa jaati hai toh phir kaam bigad jaata hai jaise koi fracture ho gaya, koi accident ho gaya, aur waha energy ka flow ruk gaya toh phir waha sharir apne aap ko theek toh karta hai lekin jo energy ka flow ruka hua hai, blood ka stagnation kar deta hai aur fluid ka stagnation kar deta hai jiss ke kaaran muscles hamara tense ho jaate hai aur humein pain hota hai.
Pet ki kahi prakar ke garbariya hoti hai toh hum jo galat aahar vihar khate hai jiss ke kaaran sharir mein gas aur acidity badhti hai. Iss ke kaaran hamarein sharir ke angein bhi prabhavit hote hai aur uss ke kaaran energy ki rukawat hoti hai jise hum acupuncture paddhati ke dwara yeh rukawatein kholte hai. Sharir mein chauda pathways hain energy ke jise hum meridian kehte hai. Har prakar ke meridian mein, kisi mein dus point hai, kisi mein pandra point hai, kisi mein bees point hai toh jahan bhi, ek science hai jiss ke dwara woh point pe hum needle laga ke energy ke flow ko kholte hai jaise liver mein koi sujan aa gayi hai, ya gadbad ho gayi toh liver ke pathway mein jitne bhi point hai uss mein jo jo point mein humein zaroori lagta hai, waha pe hum needle laga ke energy ka flow ko kholte hain aur liver ki pranali tandurust karte hai. Jiss ke kaaran liver se sambandhit samasyaein apne aap samapt ho jaati hai aur aaram milta hai.
Acupuncture se jo bhi safal ilaaj hote hai aur turant relief milta hai woh koi bhi painful problem ho aapka, kamar ka pain ho, chahe gardan ka pain ho, chahe peron main dard hai, toh yeh toh immediate relief milta hai. Jis din aap treatment karwayenge, ussi din needle lagwayenge aur aap ko aaram milega. Toh yeh acupuncture ki details hai.
Ab jo acupuncture hum nahi karte hai woh janmajaat bachhe hai chhoti umar ke, bahut hi vriddha hai, bahut hi debilated hai, ya pregnant mahilaein hai, kuch samay tak uss ke acupuncture dwara ilaaj hum nahi karte. Baad phir shuru karte hai.
Acupuncture ke ilava Sujok therapy, Sujok mein hum magnet lagate hai, toh main magnet aap ko dikhata hoon. Iss prakar ke magnet lagte hai body pe, yeh jo magnet aap dekh rahe hai woh haatho aur per pe yeh magnet lagate hain. Jo acupuncture se darrte hai unka magnet ke dwara ilaaj hota hai, baaki sui k dwara ilaaj hota hai.
Toh iss prakar ki chhoti chhoti, chhoti bareek sui ya hoti hai jo hum point mein needle laga ke sui se ilaaj karte hain. Jaise mujhe sar dard hai, toh yeh samjho sar dard ka point hai, yaha hum yeh needle lagayenge. Ek needle lagaya hai koi pain nahi hai, yeh painless needle hoti hai aur mujhe sar dard mein aaram milega. Aise sar dard ke kaafi sare points hote hai. Jaise ki migraine hai, bahut saal purana, toh iss tarike se tamaam samsya ka ilaaj hota hai.
Thank you very much.