Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Addiction To Pornography

Profile Image
Dr. Shirish C MaldeSexologist • 31 Years Exp.MD, BHMS
lybrate_youtube

Doston! Dr. Shirish Malde, sexologist Mumbai ka ap sab hi ko namashkar.

Hum aksar dekhte hain ke jau technology hai jis tarah se barhti hai humein kia kia naye ayaam dikhati hai.

Ab hum baat ker rahe hain internet ki. Ek zamana tha jab internet buhat bari luxury hua kerti thi aur ajwaqt hai ke internet har sab hi ki pocket mein apke unglion ke sparsh ke oper available hogayahai aur who bhi unlimited data ke sath.tau doston yeh cheezon ka humari niji life per buhat hiasar parhta hai aur khas ker ke hum agar sex life ki baat karen tau data available hone ke sathsath pornography bhi buhat easy available hogae hai. Han! Aur who bhi sab ko apni apni privacy apni niji space mein. Tau iska humare sex life per tau asar parhega hi tau hum dekhenge yeh kistarah se parh raha hai. Aj dekheye pornography viewing mein humara desh Hindustan panchwain number per hai. Aur yeh kafi had tak kafi log iska istemal kerte hain, isko dekhtehain, kuch log kam kuch log ziadadekhte hain aur iski asar tau rahegi hi humari sex life ke operjis tarah se logon ke sawal atey hain iske oper se humne yeh kuch findings bataye hain.particularly humare desh mein pornography itni kyun popular hai? Tau iska sabseimportant ek jawab yeh hai ke humare yahan formal sex education yani jise hum yawn shikshankehte hain uski kami hai. Ab jis cheez ki kami ho, jis cheez ka knowledge na ho, knowledge hotabhi hai tau apne friendon se mila hua tuta phuta knowledge hai aur yeh jau half knowledge haiyeh humein kafi taqleef mein rakh sakta hai. Tau isi wajah se log jau kehte hain na “forbiddenfruit is always more tasty” waise jis cheez ka partiband hai who cheez humein ziada akarshidkerti hai. Aur isi ko le ker ke yuva verg khas ker ke pornography ke peche kafi samay viyat kerta hai. Ab iska asar hota yun hai ke log isey sex education ka ek zariya samajh bethte hain. Halan ke bilkul aisa nahi hai. Yeh mera spashmat hai pornography hai yeh ek sirf uttay jina nirmand kerneke liye agar dekhi jaye usko sirf casually dekha jaye tab tak thek hai lekin jab ap isko ek limit kebahar jaise ap chale jate hain tau yeh khatre ki ghanti bajata hai apke liye. Khas ker ke us waqtjab ap isey sex education ka zariya samajhte hain. Kyunke pornography mein jau yeh dikhatehain yeh sab hi cheezain qanoonan tor pe mumkin nahi hoti hain khas ker ke child pornography, violent sex, animal sex yeh sari cheezain qanoonan partiband hain aur naytik roopse bhi yeh sari cheezain ghinoni hain. Aksar isey ap education tool samajh ker ke agey barhtehain tau kafi taqleef mein asakte hain. Khas ker ke who yuva jau pornography mein dikhate hain who actors ke jau angupang hain usko dekh ker ke apne ap mein kafi hindbhawana mehsoos kerte hain. Ek parkar ki inferiority complex mehsoos kerte hain jaise ling ka akaar hai ya sambuqka jau samay dikhaya jata hai isko le ker ke logon ke mann mein kafi brahmanain paida hoti hainaur who apne apko inferior samajhne lagte hain aur aise cases kafi manokchikat ke liye atey hain. Waise dekhye jaye tau dekhye yeh ek industry hai jahan per modelling ek vayosaye haiyeh aise models ko choose kerte hain jau is industry ke liye fit hote hain. Tau isko dekh ker kesab hi logon ko apni tulna nahi kerni hai aur khuan ma khuan inferiority complex nahi bananahai. Dusra pornography apko addict banata hai, yeh aisi cheez hai jau apko bar bar dekhne permajboor kerta hai ap isme apna kafi qeemti waqt vastvayat kerte hain aur kafi apki education,job mein kafi pichrey reh sakte hain.apna niji personal life bhi is mein kafi disturbhota hai aur sab se mehtapurne baat hai ke isme forceful sex dikhate hain, violent sex dikhatehain yeh kafi had tak samaj mein yeh forceful sex ko uttayjit bhi kerta hai tau humein isko bilkulhi education tool ke hisab se nahi lena hai. Aur jaise hi yeh pornography ka humein addictionbhi nahi rakhna hai uske badley humein apne apko ziada se ziada productive work mein involvekarye. Internet available hai tau isey ap achi jankari prapt karye, kafi achi jankari apko mil sakti hai aur na ke pornography dekh ker kea p yeh sab ghalat fehmiyan nikalen. Doston! Mera apsenumra amurad rahega keh pornography kea p balli nahi banye, usko excitement ke roop se apdekh ker ke lightly lijeye aur uska anand utha sakte hain baqi usko academic tool mat banayega.

Ap is barey mein aur kuch jankari janna chahte hain ya appointment fix kerna chahte hain tauap Lybrate yeh app ke zariye contact ker sakte hain. Dhanewaad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sex Education treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details