Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 05, 2023
BookMark
Report

Addictions - What Should You Know?

Profile Image
Dr. Soumiya MudgalPsychiatrist • 18 Years Exp.MD Psychiatry, Fellowship in Clinical Neurophysiology & Epilepsy, Certificate in Child and Adolescent Mental Health, MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Somiya Mudgal, consultant psychiatrist. Hum aaj baat karenge addictions ke baare mein. Addictions kai prakar ke ho sakte hai jaise ki, most commonly jo addiction hum dekhte hai vo hota hai sharab ka, cigarette ka, paan ka. Uske alawa addictions kai baar apko neend ki dawaiyo ka bhi mil jayega, aap dekhenge addictions ho sakte hai gaanja ka, affeem ka, pot ka, hash ka. Ye different tarike ke addictions hai jo ki chhoti umar se kaafi badi umar ke logo mein dekhe ja sakte hai, jinki wajah se life mein kaafi problems aa sakti hai. Usually addictions ke shuru hone ki reasons hoti hai ki log peer pressure ki wajah se karte hai. Kisiko lagta hai ki unki life bahut kharab chal rahi hai toh vo solution hai ya medicine hai. Ya Koi complain karta hai ki neend nahi aati hai toh hum alcohol lete hai toh koi nasha karte hai. Usually isi tarike ke reasons hote hai toh koi nasha karna shuru karta hai. Unfortunately ye saare hi substances ye saari hi cheeje habit ban jaati hai, eventually chhote dose se kaam nahi chalta and dheere dheere addiction badta jata hai. Addictions se hone wali problems ke baare mein baat karein toh addiction se do tarike ki problems hongi, ek toh aapko sharirik problem hogi jaise ki apka lever kharab ho sakta hai, akpo hotho ka cancer ho sakta hai, lungs ka cancer ho sakta hai, apko lever ka cancer ho sakta hai, aur cancer ke last stage se pahle aapko choti choti lever ki aur beemariya, lungs ki beemariya bhi apko ho sakti hai.

Parantu, mukhya taur pe jo problems dekhi jaati hai aur jo sabse pahle dikhai deni shuru hoti hai vo hoti hai mansik beemariya, jaise ki long term addicton karne ke baad ghabrahat, baicheni ki pareshani ban jaana, udasi ki pareshani ban jaana, daure padne ki pareshani ban jaana, ya fir severe pareshani jaise ki pagalpan, jisko hum psychosis kahte hai, bhi ho sakti hai. Inn pareshaniyo se peecha chhudane ka jo tarika hai vo ye hai ki agar apko lagta hai ki apke ghar pariwar mein ya apko khud ko iss tarike ki koi problem ho rahi hai, iss tarike ka koi nasha kar raha hai, chahe vo alchohal ka ho, vo chahe ciggerate, paan ka ho ya ganja ko ho ya opioid ka ho, neend ki goli ka ho, cough syrup ka ho, toh ye jaruri hai ki aap treatment karaein warna dheere dheere aadat badti jati hai aur uske baad usse chhodna mushkil ho jata hai. Achchi baat ye hai ki, humesha ye samjha jaata hai ki ek baar nashe ki aadat lag gayi toh kabhi chhutegi nahi, ye baat sach nahi hai. Haan chhudana mushkil hai par asambhav nahi hai. Dusri baat ye hai ki log samjhte hai ki uske liye ek nasha mukti kendra mein band hona hoga aur wahi rahna padega, bahut kharcha hoga aur iss wajah se log samne nahi aate ya arthik samsayao ki wajah se ye sochte hai ki ye na karein, toh ye bhi sach hai.

Agar koi bhi insan nasha chhodna chahta hai aur vo puri tarah se taiyar hai toh OPD basis pe bhi hum nasha mukti kar sakte hai. Isme humara do tarike ka phase hota hai. Ek hota hai humara detox phase, jisme ki hum aapko thoda jaldi jaldi bulayeinge kyunki dawaiya jaldi jaldi badalti hai. Uss samay hum apke shareer se aur apke khun se jo nasha hai usse nikal rahe hai, jis se ki apko jyada pareshaniya bhi na ho aur shareer se nasha chala jaaye. Dusre maintenance phase mein humara jo uddeshya hota hai vo hota hai apko vo dawaiya dena jis se apki nasha karne ki ichcha kam ho. Uske saath saath hum apko therapy aur aisi bahut saari strategies sikhate hai jis se ki aap apne aapko nashe se dur rakhe. Hamesha nasha chhodne ke liye jaruri hai ki aap motivated rahe, apne pariwar ka sath de, apne pariwar ko ye baat jarur batayein ki aap kisi nasha mukti kendra mein ja rahe hai ya kisi nasha mukti doctor se mil rahe hai ya madad le rahe hai, kyuki kabhi kabhi ye jaruri hota hai ki agar koi complication ya pareshani aa rahi hai toh apke ghar ke sadsya doctor se consult kar sake. Chhodna bahut aasan hai par agar aap nahi chhodte hai toh bahut saari mansik beemariyo ka shikar hone ka chances rahta hai jaise ki maine apko pahle bhi bataya tha aur jo ki severe form mein fir apki sharirik health aur mansik health, dono ko hi bahut bure tarike se bigad sakti hai. Agar aapke aas paas kisiko bhi nashe ki problem hai ya apke pariwar mein hai toh ummeed na chhode aur kisi bhi nasha mukti kendra ya nasha mukti doctor se jarur milein.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Alcohol Addiction treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details