Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Nov 28, 2024
BookMark
Report

Adult Vaccination - Everything About It!

Profile Image
Dr. Neha GuptaInternal Medicine Specialist • 22 Years Exp.Infectious Disease Fellowship, MBBS, MD - General Medicine, FNB- Infectious Diseases
lybrate_youtube

Hello,

Namaskar, mein Dr Neha Gupta hu. Mein Infectious Diseases Specialist hu. I am from the first batch of Infectious Diseases Specialists in india and mein aaj aapko adult vaccinations se sambandhit kuch jaankaari dena chahungi. So normally ye socha jaata hai ki vaccination is just for babies. But vaccination is not only for babies and now we have this concept of adult vaccination, jisme ki bade logon ko bhi teeke(vaccination) lagaye jaate hai. Jis se ki unme infections na ho. So as age advances i.e. usually after 50 or 65 years of age ya fir un logon mein jinme ki koi aur beemari hai, jaise patients jinko diabetes hai ya liver disease hai ya kidney disease hai ya fir heart ki takleef hai, toh inn saare patients mein infections hone ki sambhavna jyada ho jaati hai. Toh inko prevent karne ke liye ab humare paas vaccines hai jinko lagane se infections nahi hoti.

So most commonly we have vaccines which are called Pneumococcal vaccines, usually Prevnar 13 or Pneumovax 23 vaccines, depending on the co-morbit conditions which can be used and ye vaccines pneumococal bactaria se sambandhit infections ko prevent karte hai. So pneumonia ya uss se jyada complicated infections se, brain ke infections bhi pneumococal vaccines se prevent kiye ja sakte hai. Iske alawa influenza like illnesses like swine flu ya other flu infections ko bhi prevent karne ke liye humare paas flu vaccines available hai, jo usually har saal ek nayi flu vaccine aati hai to tackle or prevent the new strain of influenza. Iske alawa Hepatitis B, HIV ki hi tarah Hepatitis B abhi curable nahi hai, but HIV mein humare paas vaccines available nahi hai, par hepatitisB mein humare paas vaccines hai aur inn vaccines ko lagane se hepatitis B jaisi beemari, jis se ki sometimes liver damage ho sakta hai, vo bhi prevent ki sakti hai. So pregnancy mein bhi kai infections hoti hai jaise ki Rubella, toh isko bhi prevent karne k liye humare paas vaccines available hai, aur jiska istemal karne se pregnancy mein infections prevent ho sakte hai aur bachche ko bhi inn infections se bachaya ja sakta hai.

Iske alawa, adults, jaise teenagers mein Meningococcal, meningitis jis se ki brain ke infections jaisi gambhir beemari ho sakti hai, toh usko bhi prevent karne ke liye humare paas vaccines hai jaise ki Menctra ya meningococcal vaccine, jisse ki young bachchon mein ye infection prevent kiye ja sakte hai. Iske alawa there are lot of times, there is increase in global travel, people are travelling to other places like Africa, South America, jaha pe ki kuch infections jaisi ki Yellow fever hai aur vo bahut khatarnak hota hai. Isliye Yellow fever vaccine inn places mein jaane se pahle aap laga sakte hai, taki aapko ye saare infections na ho. Antibiotic resistance, ek gambhir mamla hai, common bactria bhi itne resistant ho jaate hai, jis se humare paas kai baar common infections ko treat karne ke liye bhi anti biotics nahi hoti. Toh most important hai, hum infections ko hi bachayein, and vaccination seems to be a way forward for preventing infections.

Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Vaccination treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details