Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Age Related Macular Degeneration

Profile Image
Dr. Neeraj SandujaOphthalmologist • 31 Years Exp.MS - Ophthalmology, MBBS, FRCS
lybrate_youtube

Hi,

My name is  Dr. Neeraj Sanduja and me aaj apko age related macular degeneration ke bare btaunga. Basically ye retina ki problem hoti hai jo age ke hisab se kisi me bhi dekhi ja skti hai. Iske 2 stages hote hain: dry or wet. Dry me roshni kam hoti hai. Wet me bleeding ho jati hai or patient ko center me ek black patch dikhne lag jata hai or akshar thode tede mede dikhte hain. Durr ka nhi dikhta hai or jhan bhi dekhta hai, vhan center se kala or side se nazar aata hai. Iske kuch risk factors bhi hote hain jaise ultraviolet rays kafi role play krti hai. Diet me agar anti-oxidants nhi hai, us se bhi iske risk hote hain. Genetics bhi iska ek karan hai. Patient jab hmare pas aat hai to ek routine eye check-up hota hai.

Jisme agar hum dekhen ki dry hai to hum use anti-oxidants capsule dete hain. Vo in dhabbon ki rok tham krta hai. Or bleeding hone se rokta hai. Agar ye wet hota hai to isme khas injections lgaye jate hain kuch test krne ke baad. Injections bleeding ko rokte hain but ye injection 1 month ke lia hi kam krta hai. To isme hume 3 injections lgane hota hain 3 months ke treatment ke lia. Isme kayi medicines bhi use ki jati hain. Isme vision ya to ruk jati hai or kuch cases me improve bhi hoti hain. 100% improvement nhi hogi. Isme hum patient ko ek chart bhi dete hain jis se vo dusri aankh ko bhi monitor krta hai. Patient ko hum 4-6 months me review krte hain. Agar bich me koi problem aaye to patient hume aake dikha skta hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Retinal Eye Disorders treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details