Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

All About Intrauterine Insemination

Profile Image
Dr. Ruchi MalhotraIVF Specialist • 33 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, DNB - Obstetrics & Gynecology, DGO
lybrate_youtube

Namaskar!

Me Dr. Ruchi Malhotra, IVF Specialist. Aaj apko IUI ke bare sari chizen btaungi. Intra mtlb andar, Uterine mtlb bacha dani, Insemination mtlb dalna. Easy language me iska mtlb hai ki bache dani ke andar semen dalna. Ab IUI krne ke bhut sare indications hote hain and bhut sare contra-indications hote hain. Hum kis condition me patient ko IUI suggest krte hain. IUI unke lia hota hai jinke semen me problem hai ya to semen absent ho. Semen me sperm hi nhi hai. Un cases me donor semen leke IUI kia jata hai. Or agar semen me sperm kam hai to aise cases me bhi IUI kia jata hai. PCOS me IUI kia jata hai. Ya fir cervical problem ho means bache dani me koi problem ho jo sperm ko andar nhi jane deti. Next condition hai vaginismus, isme intercourse nhi ho skta, islia IUI kia jata hai.

Ab me apko contra-indications btaungi. Kis cases me IUI recommend nhi kia jata. Tubal block TB, endometriosis or ectopic pregnancy ki vjha se ho skta hai. In cases me IUI nhi kia jata hai. Bachedani me ande na bane jise hum kehte hai premature ovarian failure ya fir low AMH level ya menopause, in cases me bhi IUI contra-indicated rehta hai. Ab me apko btaungi ki IUI me actually kya kia jata hai. Patient ko hum second day of periods me bulate hain. Medicines and dawaiyon ke through ye treatment proceed kia jata hai. Injections islia dia jate hai so that eggs follicles ban saken. Isko transvaginal scan (TVS) bolte hain. Ye 4-5 times kia ja skta hai. Jab egg ka size normal ho jata hai to usse trigger dia jata hai. Ye ek inejection hota hai so that egg ande dani me se nikal jaye. Ise rupture bola jata hai. Fir iske 36 hours baad IUI kia jata hai. Isme semen sample collect kia jata hai. Semen ko wash kia jata hai. Or best sperm leke bache dani ke andar rkha jata hai. Ye kam bina anesthesia ke kia ja skta hai. Or ache center me iska success rate 15-20% rehta hai.

IUI 5-6 times ki ja skti hai quki iska success rate IVF se kam hai. IVF ka success rate 60% tak jata hai ache center me. Agar aap is treatment ke bare me kuch bhi janna chahte hain to mujhe mere center me aa ke mil skte hain. Aap mujhe Lybrate ke through bhi call kr skte hain.

Thank You. 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Intrauterine Insemination (IUI) treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details