Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Allergies

Profile Image
Dr. Gagandeep Singh AhujaHomeopathy Doctor • 23 Years Exp.BHMS
lybrate_youtube

Namaskar,

I am Dr. Gagandeep Singh Ahuja. Aaj me apko allergies ke bare me btaunga. Allergies apko kisi bhi chiz se ho skti hai like food, environment. Allergy apko attack krti hai jab apka immune system weak hota hai. Ye 3 tarike se effect krti hai, respiratory, skin and gastric. Rhinitis se start hota hai jisme patient ko sneezing hoti hai. Patient ko sinusitis ka bhi problem ho jata hai. Patient ko tonsillitis ka problem ho jata hai. Jab ye chect me phuchta hai to ye bronchitis me convert ho jata hai. Iska symptom hai irritation in throat, inflammation. Agar hum ise medicines leke dabba dete hain to ye asthma me convert ho jata hai. Ye skin me bhi inflammation kr deti hai. Patient ko eczema, urticaria and angioedema ka problem ho jata hai. Skin pe red rashes ho jate hain. Isme apko nausea, vomiting and diarrhea ka problem bhi ho jata hai. Pollution is the biggest reason of allergies.

Eyes me jalan hoti hai and nose band ho jata hai. Allergies genetically bhi aati hain. Islia homeopathy inme bhut acha treatment deta hai. Allergy ko homeopathy se easily cure kia ja skta hai. Hum apka immune system build krte hain. Allergy ko diagnose krne ke lia hum apke kuch test krate hain. Allergy kabhi bhi 1-2 days me thik nhi hoti hai. Treatment me time lgta hai. Fungus growth bhi ek allergy hi hai. Immune system ke girne ke kayi karan ho skte hain. Ab isko prevent kaise kren.

Face pe gila rumal bandhiye jis se sara dust gille kapde pe hi reh jayega. Muh and hand baar baar wash kriye. Ghar me se carpets remove kr dijiye and agara pets hain to unko durr rkhiye. Ghar me money plant lgaiye taki oxygen produce ho ske. Skin ke hygiene maintain kren. Eat only healthy diet. Gastric allergy ko dhundna hi sabse bada task hai. Jitni apki bukh hai us se kam khaiye. Myth hai ki homeopathy bhut lamba treatment hai. 4-6 months me aap result dekh skte hain. Baki apke pathology pe bhi depend krta hai. Test pe bhi depend krta hai ki apka body ka immune level kya hai. Aap mujhse Lybrate ke through consult kr skte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Rashes treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details