Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Allergy - Know The Types

Profile Image
Dr. A.K GuptaHomeopathy Doctor • 47 Years Exp.MD (Homoeopathy), DHMS
lybrate_youtube

HI,

I am Dr. A.K. Gupta. Aaj hum baat karenge allergy par. Allergy ek is tarah ka vishay hai jishme shayad hi koi vyakti ya koi ghar aisa ho jisme kisi ek vyakti ko kabhi kisi parkar ki allergy na hui ho. Jab hum baat karte hain allergy ki to kahin logh aam bhasha main bolte hai ki mujhe us particular vyakti se allergy hai ya husband and wife mai bhi kabhi-kabhi khete hai ki mujhe usse allergy hai ya apse maine dost log baat karte hain. Hum ussh allergy ko chod ker dusri allergy ki baat kar rahe hain. Yahan per baat hai ki unki hypersensitivity ki. Allergy hoti hai, body ki atti-samvedan-sheelta badh jati hai. Aur wo kisi bhi chize se, Khane ki chij se, pehne ne ki chij se, environment se. Allergy 2 prakar ki hoti hai. Which is exogenous and endogenous. 1)Exogenous means jisme external factors hote hai jo allergy cause karte hain. 2)Endogenous jisme body ke internal roop se allergy cause hoti hai. Allergy normally dekhi jaye to! logh aisey pesh aate hai jinko allergy ka hoti hai, jaise ki sabse pahle cold ( cheekon ka aana), sans band hona ya usme ghutan hona wo hai ek respiratory allergy hai.

Dusri hai commonest hai skin ke upar, jaise wo kisi ko amm bhaasha mein urticaria kehte hain ya chapaki kehte hain ya kuch logh usko pitti uchalna khete hai, jisme chote chote daane aate hain red colour ke aur wo shareer ki skin per aaker ubher jate hai aur dhere-dhrere unka level badh jata hai aur dhere-dhere ek-ek doh-doh karke bahde-badhe chpak ban jate hain aur urticaria patches ban jate hain. Kahin-kahin baar apne dekha hoga kisi-kisi vyakti ko khane peene ke badh lips sooj jate hain ya usme bohot jyada swelling aa jati hai ya aisa lagta paani bhar gaya ho, aankhein ekdum bhigh jaati hain so ye ek common symptom hai allergy ka. Allergy aankhon mein bhi ho sakti hai jisko dekhe yaadi aankhon mein bhi redness aa jati hain(lalgi pan ataa hai), aankhon se paani ata hai, aankhon mein jalan hoti hai ya hum dekhte hain ki jabh vatavaran mein change aata hai tabh hoti hai. Dusri allergy jo aam dekhne mein aati hai ki jaise hi kuch khaya, kuch bhi cheez khane ke badh unko pet mein dard hona, diarrhoea hona, loose motion hona ya vomiting hona ya nausea hona ye particularly allergy ke effect ho sakta hai aur kuch logo ke joints pain hona aur body main dukhan hona ye bhi allergy ka effect ho sakta hai. To ab hum allergy ko pahchane kaise? Aam tor par ye dekha jata hai ki jaise ek vyakti kisi cheez ke sampark mein aane ke badh achanak usko kuch Lakshn ya kuch symptom aane shuru ho jate hain, hum question karte hain during the case taking time pe ki apko ye problem jo hui? kaise hui?

Agar vo vyakti apko bata pata ki maine kuch khaya tha ya jo cheez maine pehli baar khayi thi, to shayad body usko body tolerate nahi karti isliye uska response is tarah ka aya hai ya kuch cheez maine khayi thi par jabse khayi thi tabse uncomfortable mehsoos kar raha hai ya kuch vyaktiyon ko pata hota hai ki jab bhi main ye kahta hoon to mujhe problem hoti hai toh ushko allergy thi. Toh isme is cheez ka pata kar pana ki kis cheez se allergy thi ye bohot mushkil kaam hain, this is a herculean task, kyunki aap din mein saikdon cheezon ke contact mein aate hain aur wo aapko hi pata ho sakta hai, apke treating doctor ko nahi ptaa balki apko bhi ptaa hote hue bhi na pta hota hai ki aap kis-kis cheez ke sampark main aaye, aapne kya khaya, kya piya, kaise mausam mein gaye, thande main gaye ya garam main gye. To ye ek aisi duvidha wali paristhiti hoti hai jisme isko janch paana bohot mushkil ho jata hai ki exactly cause kya hai. Halaki uske liye kuch test avilable hain parantu wo jo test hai wo bhi kaha nahi ja sakta 100% apko result dedein aisa nahi hai. To isliye sabse accha tarika ye hota hai ki jis vyakti ko jisey ye problem hain usko thoda sa apne dincharya ka dhyan rakhein ki unko ye problem kaise aur kiske badh Hui hai,

Agar wo thoda notice karein ya precaution lein to usse fark bhi par sakta hai. Agar hum baat karen allergy ke treatment ke liye to homeopathy ek aisi padhdati hai jaisme allergy ka bohot ache dhang se ilaaj hota hai or ho sakta hai. Jab vyakti ko cheekein aati hain, cold hota hai, running nose hoti hai aur watering of eyes hoti hai to ye sudden change of temperature se ho sakta hai, smoke se ho sakta, dust se ho sakta hai, Pollen se ho sakta hai. To jaise ye pucha jata hai ki kisi particular season mein hota hai ? haan changing weather mein problem hoti hain. Garmi se sardi aati hai tabh ya sardi se garmi aati hai tabh ya jaise aam tor par march-april ka mahina hota hai ya september-october-november ka to us time pe jabh fasal cut rahi hoti hai ya pollens jada hoti hai to bhi dikkat hoti hai. Us vyakti ko cheenkein aa sakti hain, us vyakti ko skin ki problem ho sakti hai, us vyakti ke khaane ki wajha se us vyakti ki eyes mein problem ho sakti hai, us vyakti ko joints ki pain ho sakti hai, toh ye cheezein hain jo hamein dekhni padati hai. Homeopathy mein Jab hum ilaaj karte hain to allergy ki cheez ka pata chal jaaye to kuch dwayein aisi bhi hain jisse dekha gya hai ki is partiucular khan-paan ki cheezon se sewan karne se ye lakshan aate hain to wo dwayi straight away di jaa sakti hai wo kaafi achuk rehti hai.

Nahi to otherwise jo hum constitutional treatment dete hain, jo susceptibility hoti hai usko dekhte hue uski immunity level ko badhate hain to wo patient theek ho jata hai aur wo apne aapko us problem se bacha pata hai. Iske liye Aam taur par hum blood test karte hain, jisme eosinophil ka count dekha jata hai,r wo eosinophilia ho sakta hai aur ek another factor hota hai jisme hum IgE level check karte hain. IgE level check karne par agar wo kafi had tak bda hua ho to wo btata hai ki use vyakti ko problem hain, uski immunity low hai aur uske bad ek complete allergy panel test kiya jata hai jisme us vyakti ki samvedan-sheelta ko dekha jata hai ki kisi cheez se wo kitna prabhavit hota hai. Jaise IgE level test karte hain usme 0.35 level ko hum normal mante Hain. To ye dekha jata hai ki aaj ki date mein logon ke khane mein jo wheat hai, tamatar hai, pyaaz hai, doodh hai , dahi hai, matar hai, aloo hai ye kisi bhi cheez se allergy ho sakti hai. Jabh wo test kiya jata hai to in sabh cheezon ko dekha jata hai. Toh kisika level 0.35 se bdha hai jaise kisi ka 0.7 hai, kisi ka 1.2 hai to jitna-jitna level badhta wo darshata hai ki us vyakti ko us cheez se kitni strong allergy hai. Aam logon ki dharna hoti hai ki hamare pass aate hain, humne apne AKGs OVIHAMS Medical Centre me dekha hai ki mai ye cheez kab se kha raha hun, mujhe aaj tak to kbhi kuch hua nahi, ab kyon hone laga? Toh yhe normal query hai.

Iske liye hum yeh btate hain ki jo apki body ka ek optimum level hoti hai, threshold hota hai, us threshold ko jaise hi wo over kar jata hai to uske allergic response aana shuru ho jate hain. Aaj ki date mein celiac disease jise wheat allergy hai, unko gluten free diet deni padti hai, to usme bhi homeopathy ka kaafi accha ilaaj hai. Jinko respiratory allergies hain jaise cold, cough, asthma hai. They are very well treated by homeopathy. Jinko eyes ki problem hai, continuously rubbing hoti hai, aankhon se paani aata hai ya continously aankhon mein dard hota hai, kirkira-pan mehsoos hota hai aur redness hoti hai ya aankhen chipakti hai wo bhi apna ilaaj homopathy se kara sakte hain. Jin vayktiyon mein allergy ka response unke digestive system mein aata hain jaise ki unko pet mein dard hota hai ya nausea hota hai ya vomiting hoti hai kisi particular cheez ko dekh kar ya usko kha kar, uska bhi ilaaj homeopathy se bohot ache tarike se Kiya jata hai hamare centre par. Aur hamne dekha hai jin logo Ko joint pain hai, aap kisi particular weather mein pankhe ke neeche baithe hain ya AC ke neeche baithe hain hai to aapko joint pain shuru ho jaati hain and they are all treated very well with homeopathy to jo rheumatic conditions aajati hain wo bhi allergic disorders ki form mein aata hai. Yahan par main ye bhi batana chahunga ki aam taur par log baat karte hain ki main chawal khata hoon, mujhe kuch nahin hota, rajma khata hun to kuch nahi hota, par main jab rajma aur chawal ikthhe karke khata hoon to tab thodi si problem ho jati hai. To yahan par body ke internal endogenous allergy mein, ye ata hai jaise hum sambar lete Hain. Samber main bohot saari cheezein hain, jabh aap alag-alag le rahe hain to kuch nahi hota, lekin jab combination mein aata hai then it starts affecting, to ye thoda mushkil ho jata hai pata kar paana ki kis cheez se allergy hai. Halaki ye test thoda mehnga jarur hai but ek test karane se ek ye fayada rehta hai ki apko us cheez ka pata chal jata hai ki kon kon si cheezein hain jinse apko allergy ho sakti hai, to aap un cheezon ka sevan na Karein aur jeetna aap is time par treatment lenge to untna hi jaldi aap recover kar sakte hain.

Aaj jo sabse commonest cheez paayi jaa rahi hai allergy ke cause main wo hai house dust and dust mite. Jitne hum band kamron mein rehte hain, ac(air conditioner) chalate Hain or aapke carpets hain unki wajah se itni badhi-badhi problem hoti hi aur in many cases bachce ko asthmatic condition mein every now and then usko oxygen deni padti hai, nebulize karna padta hai, jab hamne uska pura case checking kari toh usko kaha gaya ki aapke kamre Mein Koi stuffed toys waghera to nhi hai? to uska pura kamra stuffed toys se bhara hua tha, to usko sabse pehle precaution ke taur per ye kha gya ki aap in cheezon ko hataye aur fir treatment kara jaya and child became completely alright. Aise hi jo log pets palte hain, jaise kutta, billi waghera hain to unke jo hairs hote hain to unki wajah se bhi allergy hoti hai. To Mere kehne ka main tatparya ye hai ki agar kisi vyakti vishesh ko kabhi allergy ki problem hoti hai to wo apne homopathy doctor ke pass complete detail dein, jitni jyada information wo deta hai utna hi jaldi treatment ho payega. Dusri baat ki agar aap precaution apne aap lena shuru karte hain that would be better off. Ki agar aap ek taraf aapna ilaaj karaye aur dusri taraf un chijo ke sampark main aate rahenge jinse problem hoti hai to naturally kabhi theek Lagega , kabhi theek nhi lagega.

Aur jo common cheez aise time mein mareej ko excessive salt, excessive fried aur excessive spicy food, ye sab cheezein na lein, kyunki isse skin irritation badhti hai hi aur itching bhi badh sakti hai to aise time par jin vayktiyon ko skin ki problem hoti hai usme synthetic kapdon ka bilkul parhez karein chahe nylon, polyster, acrylic polymers ko avoid karein lekin cotton pehne aur koshish karen ki cosmetic wagera se bhi dur rahe aur cosmetic ki kuch quality hain jo ki allergy cause karti hain aur bohot sari humne mahilaon mein dikha gaya hai ki jab wo hair dye waghera karti hai ya peel off karati hain ya facial karati hain, tab bhi unko uske baad rashes aane shuru ho jate hain. To ye cheezon ka dhyan rakha jaaye, unko dwaayi di jaye to theek ho jaati hai, aur aise time mein jin patients mein vitamin B ki kami hoti hai ya anemic hote hain to wo allergy ke prati jyada jaldi samvedansheel hote hain aur unko allergy ho sakti hai.

To allergy ek is tarah ki common bimari hai jiska ilaaj karne mein kahin baari bohot mushkil hoti hai, normally log kya karte hain ki anti-allergic tablet le lete hain or wo har roj anti-allergic tablet lete hain to wo dbaa rehta hai aur wo theek nahi hota. To aise time pe homeopathy ek aisi chikitsa paddhati hai jahan per iska purn roop se complelte ilaaj ho jata hai aur bimari jadh se khatm ho jati hai hamesha-hamesha ke liye. We have seen patients jo chronic urticaria ke patients the ya chronic allergic rhinitis ke patients the, salon saal se pidit the unko homeopathy ki dawaa regular kuch arsa di gyi. Hamne apne centers mein dekha ki ye completely cure ho gye aur uske baad naa kabhi cheekon ki problem thi, na allergy thi, na urticaria tha, nahi asthma ke attacks aate the. To main apne darshakon ko ye kehna chahunga ki yaadi koi bhi vyakti kisko allergy hai wo nisankoch hoke aur poorn vishwas ke saath homeopathic treatment karwaye and I am sure uski jo ye allergy ki problem hai wo hamesha ke liye theek ho sakti hai.

Thank you very much!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!