Angina & Heart Attack
Here are causes, symptoms, treatment of angina and Heart attack
Mai Dr Pramod Kumar Sharma, Max Smart Saket City hospital me Senior Cardiac surgeon ki pad par hu. Merese bahut saare patient aate hai aur baar baar yahi poochte hai ki doctor saab ye angina pain kya hota hai? Heart attack hota kyun hai? Unka jawaab dene ke liye, unko ye samjhata hoon ki angina jo hota hai ki jab dil ke andar jab khoon ki supply kam ho jati hai aur, dil jo hai it’s like a pump. Pump ke andar aapko chalane ke liye energy chahiye, energy aati hai usko apni supply mine se. Jab vo apni supply dheere dheere khoon ke naliya sikudne ki wajah se kam ho jaati hai toh patient ko angina shuru ho jaata hai. Aur agar suddenly wo nali band ho jati hai to patient ko heart attack ho jata hai.
Ab sawal ye uthta hai ki ye hota kyun hai? Angina ya heart attack dono ek hi beemari ke do roop hai. Dono ke kaaran ek hi hai. Pehla kaaran jo hota hai wo hota ki jisko hum bolte hai non-modifiable factor. Non-modifiable factor hai isko hum bolte hai ki patient ko vanshanugak problem hai. Matlab uske pitaji ki taraf ya mataji ki taraf kisi ko bhi family me agar ye problem rahi hai heart attack ki, angina ki toh usko jo aage santaan aati hai unko hone ke kafi kafi chances rehe hai. Dusra hota hai modifiable factor. Modifiable factor me bahut saare factor hai jaise ki patient agar diabetes hai usko control nahi kar rahe hai properly, patient ko blood pressure hai usko properly control nahi kar hai, patient ko cholesterol bahut jaada rehta hai, hyperlipidaemia jisko bolte hai usko properly control nahi kar rahe hai ye jo factor hote hai iske alava jin do cheezo pe mai bahut jyada mai stress dena chahunga aur samjhana chahunga jo ki bahut aasani se aap bacha bhi sakte ho aur bahut dangerous hai.
Ek sabse badi problem hai smoking ki, smoking ek itni katarnaak cheez hai jo ki aam taur par logbagh samajhte hai ki smoking se cancer hi hota hai. Smoking se cancer to hota hi ye har aadmi jante hai, par har aadmi ye nahi jante hai ki smoking se khoon ki naliya sukad jati hai, khoon gaadha ho jata hai aur khoon ka bahaav kam ho jata hai. Uski wajah se patient ko jo stroke bhi ho sakta hai, jisko hum bolte hai brain attack ya heart attack bhi ho sakta hai. Jisko hum normal bahasha me hum bolte hi hai har log jante hi heart attack kya hota hai. To ye do cheeze hai agar aap smoking karte hai to aap ko bahut jayada chances hai ki heart attack ya brain attack hone ke chances bad jate hai.
Dusra mai bolunga ki humara jo life style hai, life style modification ka bahut bada role hai, heart attack ya angina ko prevention ke liye. To life style hum log ka bahut change hogaya hai. Aaj kal logbagh raat der tak jagte rete hai. Proper need nahi le paate hai, proper relaxation nahi ho paata hai, mind ka relaxation nahi hota, tension bada rehta hai. Yeh sab cheeze aaj kal itni jyada ho gayi hai ki jiski wajah se aap dekh rahe hai ki din pratidin heart attack aur angina ki problems badti jaa rahi hai.
Agar aap ko is baare me koi consultation karna hai to lybrate is a very good forum. You can interaction with the lybrate people, you can have my advice on internet by posting your questions.