Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Anorectal Disorder - Piles, Fistula, Fissure And Pilonidal Sinus

Profile Image
Dr. Vijay DagarAyurvedic Doctor • 15 Years Exp.BAMS, Ksharsutra
lybrate_youtube

Hello Friends,

I am Dr. Vijay Dagar, Ayurveda, Agnivesh Ayurveda Hospital, Uttam Nagar, Delhi. Today I will talk about common anorectal disorders like piles, fistula, fissure, pilonidal sinus. Sabse pehle hum baat krenge fissure ki. Chronic constipation ki vjha se anus ke andar ek cut aa jata hai. Iske symptoms hain pain, burning sensation, bleeding. Iska treatment time pe essential hain. Patient is problem ko hide krte hain. Piles ko bavasir bolte hain. Piles me painless bleeding hoti hai and anus se skin bahar aati hai. Piles ki 4 stages hain. Stage 1, 2, 3 & 4. Stage 1 & 2 me piles ke patient ko thik kia ja skta hai. Stage 3 me waste discharge krte time skin bahar aati hai and apne aap andar chali jati hai. 4th stage me skin bahar aati hai and andar nhi jati hai. Aise stage me modern stage me surgery suggest ki jati hai. Ayuveda me stage 3 & 4 ke lia bhut hi easy treatment hain. 15-20 mins ka ye treatment hota hai. Ab hum fistula ke bare me baat krenge. Is me anus ke pas ek pimple ho jata hai. Ayurveda me is treatment ke lia ek medicated thread use kia jata hai. Fistula me ye thread insert kia jata hai.

Ye thread 1 week kam krti hai and patient ko every week aake ye change krana hota hai. Bade hospitals me treatment krane ke baad bhi patient ko relief nhi milta hai. Lekin ayurveda me iska minimal chances hote hain recurrence ke. is treatment me UV light sterilized instrument ka use kia jata hai. Ye best medicines se banaya jata hai. Ab hum pilonidal sinus ke bare me baat krenge. Isme lower back me pimple ho jata hai. Isme patient ko ghabrane ki koi jrurat nhi hoti hai. Iske lia kuch precautions kia ja skte hain is disease ko prevent krne ke lia. Apka water intake acha hona chaiye. Constipation se khud ko bachayein. Fast food avoid kren. Straining na kren during defecation. Or lambe time tak ek jgha pe baithne ka kam na kren. Aisa kr ke aap in bimariyon se bach skte hain. At Agnivesh Ayurveda Hospital, we have best treatment for these disorders. Female doctors are also working here. So, without hesitation you can contact use regarding any anorectal disorder.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Anal Fissure treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details