Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 07, 2020
BookMark
Report

Antenatal Health Check Up - Know More About It!

Profile Image
Dr. Neha JainGynaecologist • 20 Years Exp.MBBS, DGO
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Neha Jain, consulting gynaecologist and obstetrician and infertility specialist. Today I am going to talk about Antenatal health check up. Jaise ki hum jaante hai ki pregnancy mein mother and child dono ko hi attention ki jarurat hai, aise mein konsi dawaiya khani hai, konse investigations karane hai iske baare mein mei apko aaj bataungi. Pregnancy ko hum three trimesters mein divide karte hai. Shuru ke three months, middle three months aur last ke three months. Shuru ke three months mein baby form hota hai isiliye hum aise time mein baby ke liye vitamins folic acids advice karte hai. Kyunki Indian population mein ek aisi enzyme jo folic acid ko uske active form mein convert karti hai vo kam payi jaati hai, toh isiliye uska active form methylfolate aise mein better rahta hai. Folic acid ke sath sath hum aur bhi vital vitamin bhi dete hai jaise ki DHA, methylcobalamin etc. Iss time hum ultrasound bhi aam taur pe karwana pasand karte hai kyuki ultrasound se baby ki correct dates ke baare mein hume pata chalta hai. Agar humare paas mein first trimester mein ultrasound hota hai toh baby ki final date of delivery hum ek confirmed roop mein bata sakte hai. Ultrasound karane ke baad hum mother ko kuch blood tests advice karte hai jaise ki haemoglobin, thyroids, blood sugar then STDs ke testing like HIV, Hepatitis B, Hepatitis C, syphilis ka testing, urine routine microscopy ye advice kiya jaata hai. Fir uske baad ka phase aata hai 11 to 12 weeks pe hum aam taur pe aajkal ek ultrasound karate hai, level one ka ultrasound. Iss ultrasound mein baby ki ye waali bone aur ye wali bone ko dekha jaata hai, ki uski kya thickness hai. Kyuki kuch babies mein ek anumanshik beemari down syndrome naam ki payi jaati hai toh ye iska screening test hai. Aur level one ultrasound ke saath saath hum double marker ka blood test bhi karwate hai, jis se ki 90% tak hum iss beemari ko rule out kar sakte hai.

Fir second trimester ki baat aayi. Second trimester mein iron and calcium diya jaata hai agar mother ka haemoglobin already bahut achcha hai, above 12 hai toh aise mein iron avoid kiya ja sakta hai. Fir usi time pe level two ultrasound 18 weeks pe advice karte hai. 18 to 20 weeks pe level two ka ultrasound advice kiya jata hai, jisme baby ki sari body facts dekhi jaati hai from head to toe. Isme baby ka heart, lever, kidneys, lungs sabka hum analysis bhi karte hai. Iske baad aata hai mostly iron calcium continue kara jata hai aur mother ka blood sugar ka screening kara jata hai, usse glucose pilake uske do ghante baad blood glucose ka level check kiya jaata hai sath mein haemoglobin aur urine routine toh har trimester mein check kiya hi jata hai. Then 32 weeks pe bhi ajkal doctors ek ultrasound karna pasand karte hai, jisme hum baby ke growth ke bare mein jaan sakte hai, baby ke aas paas kitna pani hai ye jaan sakte hai aur uska avalnal upar hai, neeche hai iske vishay mein pata chalta hai. Aur fir finally aata hai term ultrasound jisme hum baby ki position jante hai, baby ke aaspaas kitna pani hai ye jante hai, baby ka weight kitna hai uske baare mein pata chalta hai aur uss hisab se hum normal delivey ya caesarian ka decision le sakte hai. Toh ye thi three trimesters ki apke liye description.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!