Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Arthritis - Know More About It

Profile Image
Dr. Manish SatsangiHomeopathy Doctor • 31 Years Exp.BHMS, BSc
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Manish Satsangi, Homeopath. Aaj mai aap ko common bimari ke baare mein btaunga plus useful tips dunga. Ye bimari kisi bhi age group ko effect kar sakti hai. Ise hum arthritis kehte hain. Bahut se log ise gathiya bhi kehte hain. It is a very common complaint. Kya is problem ke liya orthopedic hi ek solution hai? Iske baare mein mai aap ko jankari dunga. Long and short term treatments homeopathic therapeutics mein available hai. Homeopathy ke koi bhi side-effects nahi hain. Arthritis is a condition which affects your joints. Arth means joint and itis means inflammation. Jab bhi humein dard hota hai hum try karte hain ki use seh lein. Thoda aur dard hone pe hum painkillers khate hain. Hum malhum ya creams use karte hain. Bahut jyada dard hone pe hum doctor ke pass chale jaate hain. Aur fir hum drugs ko zindagi bhar use karte rehte hain. Lekin har type ka joint pain arthritis nahi hota hai. 200 se jyada bimariyan aap ko implicate kar sakti hain. Isliya kis type ka treatment aap ke liya sahi hai and future mein kya hoga, iska discussion doctor ke sath karna bahut jaruri hai.

Toh is video mein aap ko pata chalega ki kya surgical treatment hi aap ke pass ek akela option hai. Homeopathy mein iske liya kya treatments hain. Kya surgery ke baad bhi aap behtar ho sakte hain. Mai aaj aap se 18 saal ka exeprience share karunga jinmein se aap kafi chizen utha sakte hain. Arthritis ke 2 types hain. Rheumatoid and osteoarthritis. Osteoarthritis ka matlab hai jo bhi chiz chalti hai vo ghisti hai. Ghisne ki vajaha se shape mein changes aate hain. Thyroid, vitamin-D and calcium deficiency is bimari ko jyada complicate kar dete hain. Osteoporosis common findings hai 40 years ke baad. Aur ye kisi bhi type ke arthritis ko badha sakti hai. 2nd type hai rheumatoid arthritis jiske baare mein janna bahut jaruri hai. Inflammatory 3 tarike se dekhi jaati hai. Fibromyalgia mein muscles ka pain hota hai. Agar ye dard persistent hain toh humein ise dhyaan se dekhna chahiyai.

Is se hum is bimari ke severity ko rok paate hain. Another type ka arthritis uric acid se sambandh rakhta hai. So, gout, rheumatoid arthritis, fibromyalgia, inflammatory arthritis mein aate hain. Agli arthritis hai juvenile arthritis ya fir ankylosing spondylitis. Ismein young age mein joints pain, muscles pain, pain bahut tezi se progress karta hai. Major drugs lene ke baad bhi bimari patient ko handicap karti hai. Yahan pe role aata hai homeopathy ka. Agar aap ko surgery boli gayi hai toh aap ek baar homeopathic treatment jarur lein. Ye aap ki mobility behatar karegi and long term goal mein better hoga. Now talking about inflammatory arthritis. Medical science mein iske liya line of treatment bilkul fix hain. Iske 2 approaches hain jismein aap allopathic trained doctor ke pass aate hain. Ek hoti hai drug-based and dusri hai surgical and another one is physiotherapy. Toh jab bhi aap medicines ke liya jaate hain and aap ko short term treatment chahiyai hota hai toh vo side-effects ke sath aap ko milta hai. Steroids ke side-effects bahut jayada hain. Ye kafi hadh tak aap ki bones ki strength ko kam karti hai. Now another treatment is disease-modifying agents. Ye bahut se logon ke jeewan mein upyogi paayi gayi hain. There are very useful drugs and they are boon to the people who are suffering from the arthritis.

But iske major side-effects hain jo aap ke kidney and liver function mein issue karti hain. Isliye mai aap ko suggest karta hun ki aap homeopathy therapies jarur lein. Now talking about surgeries. Drugs lene ke baad bhi aap ki bimariyan badh rahi hain kyuki aap ne modifying agents liye jis se bimari badhti hai. Ultimately joints aap ke destroy hote hain. Aap ko pain hota hai, aap chal nahi paate hain. And jab aap doctor ke pass jaate hain toh vo aap ko surgery suggest karte hain. Surgery 2 types ki hoti hain. Complete joint replacement, partial joint replacement. The surgical option is not the ultimate solution. Bahut se cases mein sugery bhi successful nahi paayi jaati hai. Surgical options are not the only solution for the case of arthritis. I use ayurvedic advice for remedial treatment Homeopathy is 200 old science which is doing really well. Now going back that how regen therapy works? There is no sickness but there are sick people. Hum mind and body dono ko involve karte hain jise mind body healing kehte hain. Or a holistic approach. Jo body and bones mein changes aaye hain unhein kaise thik ki ja sakta hai. Mere clinic pe jo bhi arthritis patient aat hai, mai ensure karta hun ki uKrunginke sath 40-50 mins spend karun and unki problems ko samjhun. Hum samjhane ki koshish karte hain ki kahan pe exactly kya problem aa rahi hai jo patient suffer kar raha hai. Fir hum patient ko motivate karne ki koshish karte hain. We are trained doctor but it is all about time which we spend with our patients.

N0w the 2nd part is body healing. Agar bone disorder hai, calcium ki kami hai toh hum homeopathy ka use kar ke patient ko thik karne ki koshish karte hain. Long-term goal mein aap ke joints ko behtar paya gaya hai. Mind body healing mein patient ka involvement hota hai. Body healing mein doctor really work hard. Long term goal hai joint disorder ka ismein dawayi ki efficacy, safety aur tolerance important hai. Homeopathy as you know free from side-effects. Long term bimari mein aap ko ye mobile karti hai. Aap ne dekha hoga ki aap ke known mein aisa koi patient hai jo bahut sari bimariyon se garasit hai and bed ridden hai aur doctor ne usko joint replacement ki baat ki hai aise cases mein regen therapy koi magic therapy nahi hai jo aapne li aur aap thik ho gaye. Ismein patient ka participation important hai. Patient agar thik se treatment le toh vo behtar ho sakta hai.

Sare disease matter karte hain long term treatment ke according. Jaruri nahi hai ki aap drug and surgery ko hi option maane. Go ahead with the trained doctor and professionals, understand what the doctor says. Ab mai aap ko dubara batata hun ki har ek joint ki bimari arthritis nahi hoti hai, kabhi bhi koi bhi joint problem ho usko apne level pe thik na karein and usko taelein nahi, ek qualified doctor se milen plus aap ko apna time de sakta ho. Aap ki future mein hone vali condition ko aap ke sath discuss kar sake. Hum maante hain ki patient ka participation bahut jaruri hai. Patient ko kis taraha ke diet mein changes laane hain. Balancing of gate is very important like patient ko kaise chalna hai and kaise balance karna hai. 3rd is that drugs and surgeries are not the only options for getting rid of the joint pain. Come and meet me at my clinic. I will be more happy and my total team is very much dedicated. Aap mujhe Lybrate ke throgh bhi reach kar sakte hain. Last mai aap ko kehna chaunga ki koi bhi aisi bimari nahi hai jis se aap thik na ho sakein. Bus aap ko motivation and strong skills ki jarurat hai. Your involvement is very important. Mujhe umid hai ki ye video aap ke liya useful rahi hogi.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Arthritis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details