Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jul 04, 2023
BookMark
Report

Arthritis - What Is It?

Profile Image
Dr. Neeraj JainPain Management Specialist • 43 Years Exp.MBBS, MD, FIMSA, FIPP, CIPS - Certified Interventional Pain Sonologist
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Neeraj Jain, Pain Management Specialist. Today I will talk about arthritis. Ismien joint problem bohut common hai. Ye problem older age mein bohut common hai. Kayi baar young patients mein bhi ye problem hoti hai like in jumpers and in sportspersons. Treatment diya jaate hain and physiotherapy bhi di jaati hai. Kayi baar inflammatory arthritis hota hai, aise case mein proper treatment lena chahiyai. Jitna jaldi treatment lenge, utna jaldi recovery hogi. Tisra arthritis old age arthritis hota hai jismein cartilage wear and tear ho jaata hai. Ismein bone expose ho jaati hai. Padding khatma ho jaati hai jiski vajaha se jab aap chalte hain toh pain hota hai. Log chal nahi paate hain and sidhi bhi nahi chadh paate hain. Baithe rehne se weight gain hota hai jiski vajaha se patient ko aurr bhi jyada problem ho jaati hai.

Isliya patient ki movement jaruri hai. Patient avoid karte hain kahin bahar jaana, socialize hona. Lekin vo acha nahi hai kyuki life ki quality poor ho jaati hai. Isliya jaruri hai ki healthy rahein and quality life spend karein. Pain killers jyada lene se kidney damage ho jaati hai. Gastritis ka bhi issue ho sakta hai jismein bleeding ho sakti hai. Log chemist ke pass ja kar bhi pain killers lete hain. Aise painkillers lene se complications jyada aate hain. Medicines lene se dekha gaya hai ki kidney bhi damage ho jaati hai patient ki. Isliya painkillers avoid karein. Agar humein dikh raha hai ki kidney damage ho rahi hai toh humein medicines change and moderate karni padti hai. Kuch safe painkillers aa gaye hain. Agar aap movement rakhenege toh uske liya pain free hona jaruri hai. Toh aaj kal kuch latest treatment aa gaye hain. Ismein knee ki nerve ko block kar diya jata hai. Jis se patient ko pain nahi hota hai.

Cartilage tear hone par hum treatment PRP or stem cells ke through de sakte hain. It is called regenerative therapy. Jaise body mein power hoti hai development ki. Jab body mein power kam ho jaati hai age ki vajaha se toh hum stem cells daal dete hain. Is se joint reform ho jaate hain. Is se patient chal paata hai and pain free ho jaata hai. Patient normal life mein firse chala jaat hai. But still due to old age agar unki quality of life improve ho jaata hai toh humein aur treatment plan karne padte hain. Hum try karte hain ki patient ko osteoporosis na ho. Calcium lete rahein, vitamin D3 lete rahein. Agar kuch patients mein early stage hai toh physiotherapy ka role kafi acha hai. Home exercises karein. Carioseps and thigh muscles ko strong rakhein. Jaise hi aap baith jaate hain, muscles aur weak ho jaati hain. Isliya exercise regimen follow karein. Khush rahein, family ke sath mil ke rahein. Isliya hum chahte hain ki aap quality of life improve karein. Hum chahte hain ki old age people bhi achi life jeeyein.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Arthritis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details