Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Ayurvedic Treatment

Profile Image
Dr. Jyoti GuptaAyurvedic Doctor • 27 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Here are benefits of Ayurveda treatment.

Namshkar mera naam Dr. Jyoti Gupta hai. Mai balaji innovative solutions k naam se greater noida mein ayurvedic clinic run karti hu yahan pe na sirf hum sbhi bimario ki ayurvedic chikitsa dete hain balki outstation patients ko rehne ki bhi suvidha pradan krte hain. Kyuki bhaut baar patients ko panchkrama treatment k lie 5 din ya 7 din or yoga k liye bhi kai dino takk rehne ki avyashakta hoti hai jiske lie usey yahan par hum rooms provide krte hain. Ayurvedic treatment k do tarike hote hain.

Pehla to jisey hum kehte hain ki bimariyo se bachnae ka tarika or dusra bimariyo se chikitsa ka tarika jisey ayurved me hum kehte hain swasthya rakshanam Aturasya Vikar Prashaman iska mtlb hai pehle aap apne swasth ki raksha karein jisse aap bimaar he na pade or fer AGR aap bimaar padte hain to apko dawaion ki jrurat hoti hai bilkull vaise he Jaise allopathy m prevention is better than cure kaha gaya hai hum bhaut sari bimariyo m deal karte hain ayurved ko log sochte hain dhere dheere asar karta hai par Aisa nhi hai ayurved utna he fast asar karta hai Jitna ki fast allopathic treatment asar krta hai sabse pehle m apko slipdisk k baare m batana chahungi slipdisk ajki modern life ki wajah se bhaut jyada common ho gya hai . ye ek aisj desease jisko generally vo log suffer krte hain Jo ya to bhaut jyada hectic schedule wale hote hain jaise ki Civil engineer ya fer bhaut jyada sitting jinka posture hai computer engineers ladies Jo ki bhaut jyada time tak standing posture m rehke baat karti hai aise log isse bhaut jyada suffer krte hain or khaas taur par Jo log obese hote hain unme unke home ki sambhavna bad jaati hain.

Calcium deficiency v ek bhaut bada reason hai aaj k daur m jo jyadatar log milk ko avoid krte hain milk nhi peena chahte hain doodh nhi peete hain dahi nhi khaate hain ya vo khate v hain to bhi unki body utna absorb nhi kr paati jitna ki absorb krna chahiye. Ye bhi ek bhaut bada reason hai ki hamare bones weak ho jaate Hain dheere dheere Jo ki slipdisk ki sambhavna ko bada dete hain.

3rd reason hai stress. mental stress bhi bhaut jyada matra m Harmones ko negative harmones ko Secrets krta hai acidic media banata hai body ka jiski wajah se calcium deposition jitna hamari bones pe hona chahiye vo bhi nhi ho pata hai jiski wajah se slipdisk hota hai. Ye sb bhaut sare reason ek sath milke slipdisk krte hain kai bar accidental case m bhi hota hai bhaut jyada tezi se apko jerk lag gya ya aap bhaut tezi se kisi posture m Mudd gye us tarike se v apki achanak sprain aa jata hai jisko hum co-relate kr lete hain ki slipdisk ho.gya hai. But vo sometimes hota slipdisk hai aisi condition m allopathic painkillers ko use krne ki bhajae aap Ayurvedic treatment use karein to better hoga.

Ayurved main do tarike se slipdisk ki chikitsa hoti hai hum panchkrama bhi karte hain then ayurvedic medicine bhi dete hain panchkrama treatment main katibasti or snehansweran kia jata hai katibasti ek process hota hai jisme ki apki Peeth m jis local area m sprain hua hai ya slipdisk hua hai ya harniaton hai us jagah pe kaam kia jata hai and medicines Jo hoti hai internally applicable mtlb orally lene k lie dete hain un medicines m first calcium ki apki Requirement ko body ki pura karti hai wahan ki muscles ki stiffness ko door krti hai or wahan par Jo v injury hai apki apka liquid kum hora hai jiski wajah se problem hai ya fer harniaton hora hai.

Jo b apki problem hai usko internally door krne ki koshis krti hai or apko ek khaas hidayat hai meri jb v aap Ayurvedic medince use karein to Patience k saath use karein ye inke lie nhi hai ki apne ek tablet khai or aap theek ho gye ye apko andar se theek krri hai apki healing kar rhi hai islie isko thoda time lagta hai to Ayurvedic treatment k dauran patience rakhna sabse jyada jruri hai second thing apko apni life style m bhi thoda sa change Lana pdega jb bhi aapko is tarike ko problem hoti hai dawaiyan panchkrama k saath saath aap yoga p bhi dhiyan dijie vo b kisi specialist k under kuki agaraap apne Mann se koi v exercise ya yoga krte hain to uska reverse effect apko dekhne mill skta hai.

agar aap slipdisk kisi b tarike ki jaankari chahte hain ya aap usse peedit hai or uska treatment chahte hain to aap lybrate pe mujhse contact kr skte hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details