Ayurvedic Treatment For Psoriasis
Namskar Doston!
Mai Dr. Tanuj Veerbhan, Senior Consultant, Sanjivani Ayurvedashram, Ghaziabad se. Aaj hum baat krenge psoriasis ke bare me. Sabse pehle hume ye janna hai, psoriasis actual me hota kya hai. Dekhiye, psoriasis ek skin disease hai. Skin disease me bhut se symptoms aate hain. Psoriasis me kya hota hai, apko skin ke upar lal rang ke gol chatte dikhayi dete hain. Aur mostly is disease me jo sabse jyada dikhayi deta hai vo ye hota hai ki ek safed rang ki parat dheere dheere utarna chalu ho jati hai. Dheere dheere ye parat apke sharir me failti chali jati hai. Aur ye psoriasis apka badhta chala jata hai. Mostly ye dryness ki vjha se badhti hai. Winters me bhut jyada badh jati hai. Kuch patient me dekha gya hai ki ye scalp se shuru hoti hai. Jaise kisi ko dandruff ho gya. Bhut lambe time tak agar vo dandruff ban jata hai, to dheere dheere vo kan ke piche bhi aa jata hai or skin ke dusre hisse me bhi failna shuru ho jata hai. Ab hum bat krte hain iske causes ke bare me.
Mostly ye dekha gya hai ki virudh ahar or vihar, mostly jo opposite food hote hain, unse ye disease failti hai. Skin me dryness badhne se bhi failti hai. Agar hum non-veg, baigan, namak ya fir cheeni, is trha k jo foods hote hain, unka agar hum jyada istemal krte hain to bhi ye dikat apki dheere dheere badhti chali jati hai. Ab rhi bat iske treatment ki. Ayurveda me iska treatment bhut ache se describe kia gya hai, Ayurveda me vo sabhi disease, jo mostly kisi or pathy me asadhya ya incurable bol dia jata hai, Ayurveda me uska bhut ache se treatment kia jata hai. Psoriasis ke lia Ayurveda me jo treatment ki shurat ki jati hai, vo hota hai body ke detoxification se.
Jab body detoxify ho jati hai psoriasis, tab kisi bhi trha ki patient ko jo hum medicines dete hain, mostly jyada effective hoti hain or ache uske results dikhayi dete hain. Jaise hmare pas ek sanjeevan ashram me ek swara powder kr k bnata hai, us powder ke through hum kya krte hain, pehle body ko detoxify kia jata hai, sath me blood ko purify bhi kia jata hai or skin ki dryness ko bhi kam kia jata hai. Jab bhi hum Ayurveda me iska treatment shuru krte hain, to ek to hume food avoid krvana hi pdta hai ki apko kya food me lena hai or kya nhi. Lekin isme sabse jyada jo dhyan rkhna hota hai vo ye hai ki apki body ke andar vo ek bhi food nhi jana chaiye, jiski vjha se vo chiz aggravate ho. Mostly, Ayurveda me ye vatta or cough dosh ki badhne ki vjha se mana jata hai. To in doshon k lia bhi hume treatment dena hota hai. Detoxification k bad Ayurveda me panchakarma ka bhut acha use kia jata hai.
Mostly, isme vaman or virechan is traha ki detoxification jo process hoti hai, vo follow ki jati hai. Khane me gehun or chane ka aata mix kr ke len to bhut ache results aate hain. Kayi bar dekha gya hai ki genetically bhi ye patient me aati hai. Dryness k lia ek sabse acha me apko treatment btata hun, jinko bhi psoriasis hai, quki mostly jinko psoriasis hai vo itching se kafi preshan hote hai. Or jab ye sharir k kisi or part p hai tab tak koi dikkat nhi hai par face pe jab aana shuru ho jati hai to or dikkat shuru ho jati hai. Face p vaise ye disease kam aati hai. Face p na aane ka hum karan ye maan skte hain ki face pe jo oil gland hoti hai vo overactive hoti hai. Agar patient pani bhi bhut ache se peeye, to bhi body ke andar dryness kam ayegi. Stress badhne se bhi ye disease badhti hai. Quki agar stress badhta hai to body ka vatta badhta hai or us se dryness badhti hai or psoriasis k chance badh jate hain. Agar koi bhi patient March, April, May, June, July mtlb baarish aane se pehle pehle, agar hum gaye ka shudh desi ghee, subha ek chamach khali peat lenge to us apki body ki heat nhi badhegi or ghee apki body me moisture lana shuru kar dega or is se dryness kam ho jayegi. To in chizon ka aap agar ache se dhyan rkhte hain, to kafi had tak hum is chiz ko cure kr k rkh skte hain. Sankramak ye disease nhi hoti hai. Ek dusre se ye nhi failti. Agar hum in chizon ka dhyan rkhenge to psoriasis se hum cure bhi ho skte hain or kafi ache se isko control bhi laya ja skta hai.
Dhanywad!