Ayurvedic Treatment Of Sinusitis
Namaskar!
Main Dr. Soonrita Taneja, MD Ayurveda. Ayurveda Treatment hone ke sath sath jeevanpadti bhi hai. Isme jo hamare paas patient aate hain hum unhe counsel bhi krte hain. Kab breakfast lena hai, lunch lena hai, dinner lena hai, iski counseling yhan di jati hai. Seasonal disease ke lia hum patient ko detailed information dete hain. Jaise rainy season me digestive capability weak hoti hai, islia hmara khana peena supachye hona chaiye. Boiled water lena chaiye. Purane gehun, chawal, jaw ko use kerna chaiye. Is season me din me nahi sona chaiye or light exercise karni chahiye.
Khane me honey and cow ghee ko use krna chaiye. Bachon ke lia hum swarna prashana dete hain. kyuki parents ki complaint hoti hai ki bache bahut jaldi bimar hote hain. Islia hum unki body immune badhate hain. Ye bachon ke intellect ko badhta hai or speech regularity ko bhi thik krta hai. Aaj hum ek common topic discuss krenge jisme apko kbhi bhi cough, cold, fever, headache ka problem ho jata hai. Ise sinusitis ka problem hone ka risk hota hai. Hamare head and face me air spaces hote hain and usme jab inflammation ata hai to use sinusitis bolte hain. Iske symptoms hain headache, cough, cold, runny nose, sneezing hoga. Or agar aage bhi ye problem rehti hai to sore throat, bad breath and loss of memory bhi patient me visible rehta hai. Isme hum bhut acha treatment dete hain. Ayurveda me sabse pehle apka cause htaya jata hai. Sabse pehle chilled products se apko htaya jata hai. Medicines hum apko body balance kerne ke liye dete hain. Panchakarma me nasya karma dia jata hai. Nose me hum kuch medicines ko dete hain.
Patient hamare paas maximum surgery ke time pe hi aate hain. 7-21 days me apka cure rate bhut jyada hai. Isme bhut ache results bhi hume milte hain. Nasya karma kaise kia jata hai aaj iska demo apko dia jayega. Isme patient ko sabse pehle head massage dete hain medicate oil ke sath. Iske baad face massage dia jata hai. Meck region bhi cover kia jata hai. Iske baad local area pe steam dia jata hai. Iske baad medicated oil or ghee patient ki condition ke according nose me daala jata hai. Iske baad medicated dhoon dia jata cough control krne ke lia. Patinet ko medicated pani muh me rkh ke dharan krna hota hai. Or badhe hue cough ko spit out krna hota hai. Ye procedure 30-45 minutes ka hota hai. Patient ko first sitting se bhut acha result milta hai. Agar aap sinusitis se suffer kar rhen hai to panchakarma centre se ye treatment lijiye and you will have miraculous results with this treatment.
Thank You.