Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Dec 08, 2023
BookMark
Report

Benefits Of Angioplasty

Profile Image
Dr. Bharat B. KukretiCardiologist • 23 Years Exp.MBBS, MD - Medicine, DM - Cardiology
lybrate_youtube

Hello Doston!

My name is  Dr. Bharat B. Kukreti and aaj hum baat krenge ki angioplasty ke baad hmari life me kya changes hote hain. Bhut sare patients hmare pas aate hain jika hearat related treatment hua hai or heart me koi blockage thi jise khola gya hai or usme stent lgaya hai. Ab logon me stents ko lekr kafi misunderstandings hain. Hmara angioplasty procedure me vo coronary artery ko kholne k lia kia jata hai taki heart ko proper blood supply mil sake. Is procedure ke through heart pehle se jyada fit ho jata hai. And expected hai ki hmari body bhi pehle se jyada fit ho jayegi. Stent lagne ke baad hmari life pehle se achi ho jati hai. Jo hmari kam krne ki capacity hai vo stent pe depend nhi krti hai. Ye depend krta hai hmari heart ki pumping power pe.

Angiopalsty krne se heart ki pumping power improve hoti hai ya uske blood ke flow better ho jate hain to ye bat normal hai ki hmare kam krne ki capacity bhi badh jayegi. Stenting hmare heart me 1-3 points pe hi ki jati hai jhan sabse jyada blockage hoti hai. Baki coronary artery ka pura area cover nhi kia jata. To hmare jo lifestyle coronary arteries ko effect krti hai jaise cholesterol, diabetes, hypertension, smoking, poor exercise, iske effects baad me bhi aise hi hote hain.

So, in a way stenting is a mechanical solution for a narrow coronary artery. Biological solution is by lifestyle changes and with medicines. Stenting hone ke baad blood thinner and cholesterol ki medicines regular khani hoti hai. Jab tak apke doctor apko ye medicines chorne ko na kahen, ine na chore. Hmari jo indoor and outdoor activities hain vo 1 week me start ho jati hai. Hum apne exercise ke level ko bhi dheere dheere badha skte hain. Aap apne pichle exercise level par phuch skte hai lagbhag 1 mahine me. Aap is se jyada activities bhi kar skte hain agar apki body ko suit krta hai. So, activity wise, you will be better than before. Stent lgna ya na lgna important nhi hai, heart ki pumping power important hai. Lifestyle se realted sari chizon ko bhut dhyan rkhen, monitor kren or manage kren. Sugar apko properly manage krna hoga, hypertension or high blood pressure ko control krna hoga. Cholesterol ke level ko check krte rehna hoga. Exercise krni hai or smoking quit krni hai. Agar in sab baaton ko dhayn rkhenge to angioplasty ka procedure life-long bhi chalta hai. 80% logon me ye procedure successful hai.

Good Day.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Heart Attack treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details