Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 06, 2020
BookMark
Report

Benefits Of Hearing Aids

Profile Image
Mr. Lovedeep KholiaAudiologist • 16 Years Exp.M.Sc - Audiology, BASLP
lybrate_youtube

Hello everyone.

Mera naam Lovedeep hai, mein ek audiologist hu. Aaj hum discuss karne wale hai hearing aids ke baare mein. Hearing aids vo devices hai jo unn logo ko madad karte hai jinhe sun ne mein dikkat hoti hai. So, pahle hum ye jaan lete hai ki sun ne ki dikkat kis kis prakar ki hoti hai. Sun ne ki dikkat bahut prakar ki hoti hai, kisi ko conductive loss hota hai, kisi ko sensorineural loss hota hai. Conductive loss vo hote hai jinke andar kaan bahna, kaan mein dard aur inn wajaho se sun ne mein dikkat hoti hai. Aur sensorineural loss vo hote hai jo ki kaan ke andruni bhag jisko ki hum choclea kahte hai ya kaan ki naso ki wajah se jo dikkate hoti hai usko hum sensorineural problems kahte hai. Hearing aids mainly jinko sensorineural loss hota hai unke liye upyog mein aati hai. Hearing aids koi bhi umar ka vyakti use kar sakta hai aur kisi bhi tarah ke loss mein hearing aids ka use kiya ja sakta hai. Bahut tarike ki hearing aids aati hai, depending on ki patient ki kya jaruratein hai, unka life style kaisa hai, unko kis tarah ki hearing aid chaiye jo badi size mein ho, chhoti size mein ho, jis bhi tarike ki hearing aid hoti hai saare tarike ki hearing aids aaj ki date mein available hai. Patient ki requirement ke hisab se available hai.

Aaj hum discuss karenge kuch hearing aids ke type ki, jo ki aajkal bazar mein available hai. Jaise ki iss hearing aid ko CIC hearing aid kahte hai. CIC ka matlab hai completely incanal hearing aid, aur ye hearing aid kaan ke andar tak ja sakti hai jiske wajah se ye hearing aid bahut hadd tak dikhti nahi hai. Jis se jo hearing aid use kar raha hai, uske aaspaas walo ko vo hearing aid dikhti nahi hai, joki vo comfortably hearing aid use kar sakta hai. Ek toh yeh hearing aid hai, iski limitation ye hai ki jinko bahut jyada hearing loss ho vo use nahi kar sakte hai. Agar unko use karni hai toh unko ek dusre tarike ki hearing aid use karni hoti hai jisko hum kahte hai ITC hearing aid. Ye thoda bade size ki hoti hai as compared to CIC hearing aid, but ye jyada powerful hoti hai, aur jin logo ko jyada hearing loss hota hai vo ye use kar sakte hai. But CIC hearing aid mein aur ITC hearing aid mein thodi si problem hai ki iske andar apke kaan puri tarah se band ho jaate hai. Kuch log jinko kaan band hone ki wajah se problem hoti hai, jaise ki kaan mein awaz gunjna, kaan mein bharipan lagna ya uncomfortable feel hona ye sab cheeje jo mahsoos hoti hai unke liye hum suggest karte hai BTE hearing aids. Ye jo CIC hearing aid hai iski jo fitting range hoti hai ye 50% se 60% hearing loss walo ko hum ye fit kar sakte hai. Uss se jyada walo ko agar hum fit karte hai toh unko jyada fayda nahi hota hai. Aur ITC hearing aid use karni hai toh iske liye hum maximum 70 to 75% db loss tak dekhte hai, uske beyond iska bhi fayda kam hone lagta hai. Aur agar kisi ko uss se jyada hearing loss ho toh hum usko BTE hearing aid suggest karte hai. Jo ki kuchh iss tarah ki hoti hai jisko ki hum RIC hearing aid kahte hai. RIC hearing aid matlab receiver in canal hearing aids. Receiver in canal hearing aids aaj ki date mein sabse unnat hearing aid mani jaati hai aur ye pahn na bhi bahut aasan hota hai. Iski visibility bhi utni nahi hoti hai jitni ek regular BTE hearing aid ki hoti hai. Toh ye har tarike ke patients ko suit karti hai. Aur iski sabse achchi khasiyat ye hai ki iske nadar jo kaan ke andar hissa jaata hai vo itna bada nahi hota ki kisi bhi patient ko problem kare, obstruct kare ya uski wajah se kisiko bharipan lage. Toh ye pahnne ke hisab se bhi bahut comfortable hearing aid hai. Aur agar hum sunai ki baat karein toh ye almost 90% hearing loss ko cover karti hai, jo ki 100 ya 105 db hearing loss hote hai, unke liye ye hearing aid suitable hai. Agar kisi patient ko uss se bhi jyada hearing loss hai toh uss case mein hum unko ek BTE hearing aid ke liye suggest karte hai. Ye BTE hearing aids aaj ki date mein sabse jyada powerful hearing aids mein se count hoti hai.

Super power hearing aids mein bhi BTE hearing aids ka hi use hota hai. But iske saath problem unko hoti hai jinko hota hai ki hearing aid dikhni nahi chahiye but ye hearing aid thodi bahut visible hoti hai, iske saath hume iss tarah ka ye nob use karna padta hai, jo ki kaan mein fit hota hai, toh thodi visible hoti hai aur ye unhi ke liye suitable hai jinko bahut jyada hearing loss hai ya unn logo ke liye jinko badi hearing aids ki jarurat hai. Bahut se aise bujurg hote hai jo ye chhoti hearing aid use nahi kar sakte, khone ka dar hota hai ya hearing aids mein buttons bahut chote chhote hai jo unse handle nahi hote hai, toh unke liye bhi hum BTE hearing aids ka istemal kar sakte hai. Jinke andar, jo ye size hota hai bada hota hai, buttons bade hote hai, manipulation aasani se ho sakti hai, aur ye sab cheeje hum use kar sakte hai. Aur iske saath saath mein batana chahunga ki aajkal jo hearing aids aati hai, 80% jo hearing aids hoti hai aajkal wireless hearing aid aati hai. Toh wireless hearing aids ka kya fayda hai? Wireless aisi hearing aids hai jinke andar kisi tarah ki wireless technology, jaise ki bluetooth, infra red, bahut tarah ki technologies hai, fm device, toh inn sab technologies se ye fayda hai ki patients jo hai, aaj kal jo gadgets hai jaise ki mobile phone ho gaya, tv ho gaya, ya apke ipad, iphone, bahut saari cheeje hai jinke saath vo connect kar sakta hai, aur unhe sun ne mein koi problem nahi hogi. Toh ye saari cheeje hai jo ki patients ke liye jo use karna chahte hai hearing aid, unke liye bahut upyogi sabit ho sakti hai.

Antt mein hum ye baat batana chahenge ki jaise ki ek hearing aid hai, hearing aid ek outside cheej hai, ek machinery hai, jiske saath apki body ko thoda adjust karna padta hai, toh kabhi kabhi aisa hota hai ki patient ko hearing aid lagate hi seeda fayda nahi hota hai, but jaise dheere dheere patient usse use karta hai, lagat hai toh usko fayda hona start hota hai. Toh iske liye sabse jaruri baat ye kahenge ki hearing aid ki jo selection hai vo bahut jaruri hai ki aap jo hearing aid choose kar rahe hai vo apne mutabik choose kar rahe hai ki nahi kar rahe hai. Toh iske andar apka jo qualified audiologist hai vo apki help karenge ki kis tarike ki machine apko suit karegi, aapki lifestyle ke hisab se. So ye hearing aids ki jo range vo ek affordable range se start hoke ek high end range tak hai, depending on ki aapki jarurate kya hai, apki requirements kya hai, aap kis tarah ke mahaul mein rahte hai, aap kitne alag alag mahaul mein jaate hai. Toh ye saari cheejo ke anusar apko hearing aid suggest ki jaati hai. Toh hum toh yahi suggest karenge ki aap ek qualified audiologist se milke, agar aapko koi hearing problem hai, aap hearing aid ke baare mein discuss kare aur hearing aid lagaye, kyuki agar aap hearing aid nahi lagayenge toh apka hearing loss badta rahega, apko sun ne mein takleef badti rahegi, aur sabse jaruri baat ki apki jo understanding hai speech ki, awazo ki, vo bahut kam hoti rahegi aur humne aisa bhi dekha hai ki bahut se patients ko aisi problem ho jaati hai ki hum achchi se achchi hearing aid bhi laga de tab bhi unko fayda nahi hota. Toh hum yahi suggest karenge ko aap uss condition tak na pahunche aur us se pahle pahle, jitni jaldi ho sake, ilaz karake ek achchi hearing aid jo apke anusar ho, vo lagake ek achchha jeevan yatit karein.

Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hearing Aid treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details