Benefits Of Homeopathy
Namaskar!
Main Dr. Nitin Gupta, homeopath. Homeopath ke alag hi benefits hain. Kayi log allopathic treatment lene ke baad bhi homeopathy me treatment lene ke lia aate hain. Homeopathy me patient ko priiority di jati hai ki uski problem kya hai. Homeopathic medicines customised hoti hain. Jaisa problem hoga vaise medicines dia jayega. Jaise headache ka problem hai to patients aate hain lekin unka headache thik nhi ho pata hai fir vo kaisi bhi medicines len. Headache 4 types ka hai. Cluster headache, migraine, tension headache, sinus headache. Lekin allopathy me inke lia fix medicines hain. But agar aap dekhen to ye sari problem kahin na khin interlink hota hai patient ki kinhi dusri problems se. Lekin agar aap dekhen to headache or bhi kayi type ka hota hai. Agar patient thik se apni problem btaye to patient ki sari problems thik ho jati hai. Homeopathy me treatment symptoms basis pe dia jata hai.
Jaisa problem vaise medicines. Homepathic treatment me problem ko smjha jata hai. Homeopathic medicines se patient bilkul thik ho jata hai. Islia patient jitna khud bta skta hai utna hi ache se doctor smjh skta hai. Doctor apne aap pta nhi kar skta ki patient ko kya problem hai. Kayi baar patient ka immunity itna strong hota hai ki patient kisi bhi bimari ko aram se jhel leta hai. Agar aap homeopathic doctor ko apni problem ke bare me thhik se btate hain to usi basis pe apko medicines di jati hai. Jab patient medicines leta hai tabhi use aram aata hai. Myth hai ki homeopathic treatment me time lgta hai disease thik krne me. Kayi baar patient tab aate hain jab vo already kahi or treatment le rhen hote hain. Ya unka ilaj khin or possible hi nhi tha. Agar patient shuruat me hi aa jaye and starting me hi medicines lene lage to uska asar patient ko jldi hi dikh jata hai. Patinet ko islia lgta hai ki ye slow effect dikhati hai quki patient or bhi kafi sari medicines leke aaye hote hain.
Kya allopathic medicines ke sath homeopathic medicines li ja skti hai? Jaise diabetic kya ye homeopathy ki mithi goliyan le skte hain? Homeopathy ki medicines aisi meethi nhi hoti ki apki sugar ko badha den. Blood sugar ka patient bhi homeopathy ki dawa aram se le skta hai. Ek or myth hai ki homeopathy ki medicines me alcohol ho hai. Allopathy me bhi medicines ka arak alcohol se hi nikala jata hai. Ye alcohol aisa nhi haia jo nashe me use hota hai. Ye refines alcohol hota hai. This is chemically refines alcohol and ye nasha nhi krta hai. Ye aap aram se le skte hain. Ek acha homeopath kaise select kia ja skta hai? Jo doctor apko sunta hai vo doctor apke lia acha hai. Jis doctor ke pass apke lia time nhi hai uske pass apke lia medicines bhi achi nhi ho payegi. Jo doctor apki problem ko ache se smjh paa rha hai vhi doctor apke lia acha hai. Apke lia ek doctor apka friend, apki book jo apke stress ko release krne me apki help kre.
Vo apke lia doctor nhi hai jo apki apni baat manvaye. Homeopathy ek badhti science hai jo kbhi fail nhi ho skti. Homeopathic treatment ek holistic approach hai. Homeopathy me patient ko smjha jata hai. Jitna patient doctor pe trust krega, utna patient ka confidence badhta jayega. Hum homeopathy me nya research, technologies krvayenge. Agar patient end stages ke sath aate hain to agar dawa thik hogi to patient bhi thik ho jayega. Humne homeopathy me kayi chamatkar dekhen hain. Ye treatment aanevale samaj ke lia bhut jyada upyogi hai.
Dhanywad!