Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Oct 01, 2024
BookMark
Report

Bipolar Mood Disorder

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 19 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hello Friends!

I am Dr. Vikas Deshmukh. Aaj me apko btaunga bipolar mood disorder ke bare me. Ye kya hota hai. Aaj hum bipolar ke 2 types ke bare me baat krenge. Bipolar 1 and 2. Bipolar 1 2 types ka hota hai: Mania and depression. Isme kbhi apko bhut khushi hoti hai or kabhi bhut gum. Mania me patient bhut jyada over-confident hota hai. Aise patient ko stop krna mushkil hota hai agar ye baat krna start kar de. Aise patients jyada paise kharch krte hain. Patient ko neend ki jrurat kam aati hai. Aise patients bade bade plans bnate hain. Agar aap aise patient ko oppose krenge to unhe kafi gussa ata hai. Depression me patient bhut hi udaas rehta hai.

Low-energy rehta hai. Patient ko fatigue ka complaint rehta hai, hopeless feel krta hai. Patient ko suicidal thoughts aate hain. Choti choti baatein uske lia kafi chinta ka matter ho jata hai. Driving uske lia easy hoga lekin jab vo depression me hoga to driving usko bhut bdi bat lgegi. Islia ye dono disease kafi gap me patient ko effect krti hai. Bipolar 1 and 2 me kya difference hai. Isme mania and hypomania rehta hai. Hypomania me patient kafi energetic lgta hai. Lekin psychitry se patient ko easily diagnose kia ja skta hai. Iska mtlb ye nhi hai ki bipolar 2 disorder kam dangerous hai. Quki patient ke relatives ko kabhi kabhi uski harkatein nhi smjh aati hai or vo in chizon ko normally lete hain.

Patient ghar ke saman jaise purani gaddi bech di and new car le li and vice-versa. Patient khi flat book kar lega. Jaise hi patient ka hypomania ka time khtm hota hai or depression start hota hai to patient ko dukh hota hai apni last investments ko dekh ke. Ye disorder ek psychitrist ke paas jake thi ho skta hai. Patient ko medicines di jati hai. Kuch patients ko kafi time tak medicines bhi leni pdti hai. Iske bare me or information lene ke lia aap mujhse Lybarte ke though contact kar skte hain.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Depression treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details