Black Jaundice
Hi,
I am Dr. Monika Jain, Gastroenterologist. Aaj me apko black jaundice ke bare me btaungi. Jin patients ko hepatitis B & C se infection hota hai use black jaundice kehte hain. Ye hmari body me blood ke through enter krte hain and lover ko effect krte hain. Ye kuch cases me liver ko shrink kr ke cirrhosis ke stage pe le aata hai. Isa cause hai infected syringe, ya fir infected patient ka blood dusre ko lag jaye, in sab se ye virun transfer ho jata hai.
Ye mother ke through be transmit ho skta hai baby ko. Ye sexual contact ke through bhi transmit hota hai. Tattoo banvate time agar precaution na lia jaye to bhi is disease ka problem hota hai. Dental practice me agar same needle use ki jaye to bhi ye problem ho jati hai. Iske symptoms hain fever, bodyache, yellowish colored eyes. Isko diagnose krne ke lia hepatitis B & C ka blood test hota hai. Aaj kal hum donor ko bhi test kr rhen hain jo blood donate kr rhen hain. Agar koi bhi jaundice se suffer kr rha hai to use proper medical advice lena chaiye.
Timely diagnosis hone se iska treatment ho jata hai. Agar liver damage nhi hua hai to treatment kafi successful hai. Aaj ke time me is problem ke lia kafi achi medicines available hain. 2 important baatein dhyan rkehn ki timely diagnosis and treatment len. Is disease ke against hmare pass vaccine available hain. Is vaccination ka proper course patient ko lena chaiye.
Thank You.