Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 15, 2024
BookMark
Report

Blood In Stool

Profile Image
Dr. Monika JainGastroenterologist • 38 Years Exp.DM - Gastroenterology, MD - Medicine, MBBS
lybrate_youtube

Namashkar! Mai Dr. Monika Jain, chief of gastroenterology and hepatology hoon. Stool mein blood aana, aaj hum is vishay pe baat cheet karenge. Yahi yeh ek bahut hi common problem hai aur generally ye middle age or old age mein dekhi gayi hai par aisa nahi hai ki koi bhi age isse exempt hai, even baccho me bhi ye problem miljati hai. To generally ye dekha gaya hai ki ye problem ke sath jab patient ko symptom rehte hai to ya to vo khud hi ilaaj karna shuru kardete hai ya kisi unqualified doctor ke pass pahuch ke uski jaanch me ya jaanch ya ilaaj me lag jate hai. Generally logo me ye dhaarna hai ki agar stool ke sath blood aa gaya hai to bawaseer ki hi problem hogi aur usi ke ilaaj mein samay bita dete hai. Bawaseer ek mukhya karand hai stool mein blood aane ka but iske alawa bhi bahut sare karand hai jinme se bahut karand aise bhi ho sakte hain ki jo ki serious ho, to agar hum iska timely jaanch na karaye to veh ek bahut serious problem ka roop bhi le sakte hai.

To generally jaise patients ko bawaseer ke alawa kya karand rehte hai jisme blood ayega usme ek fissure or fistula ek common karand hai. Inme generally dekha gaya hai ki patient ko jo khoon ka risaav hota hai usme pain bhi rehta hai that means painful defecation is a main symptom. Kai baar intestine me ulcers ban jaate hain jisko jiske kafi sare karand rehte hai unmein infection hota hai, tuberculosis ek humare desh me mukhaya karand ek rehta hai, inflammatory bowel disease ya jaise jinko aanton ke ghaav ka ek anay karand hai. In sab although yeh saari ki saari bimariyan treatable hai lekin inn sabki treatment different hai, to hume inn bimariyon ko proper diagnose karke he ilaaj karna chahye. Ek bahut he important gambhir bimari hai jisko hum intestine ka cancer kehte hain isme bhi kafi bar patient ko jo pehla symptom jisse patient present karte hai vo kai bar sirf stool me blood ana hai. To ab hum dekh rahe hai ki bahut simple bimari se leke bahut gambhir bimari tak ka symptom yahi ho sakta hai ki usko stool mein blood aana hai aa raha hai to inn sabka timely jaanch karna or timely treatment karna bahut he important hai kyunki kai bar badi serious bimari bhi undekhi rehjati hai or jab jis samay hum usko diagnose karte hai to uska ilaaj sambhav he nahi hota. To ye sab to raha middle age or old age vala group. Kabhi kabhi bacche bhi is symptom se grasith hojate hai, vo log bhi patients parents leke ate hai ki bachcho ko stool ke sath blood ara hai, unn cases me generally jo ek mukhya karand rehta hai woh hota hai polyp. Polyp ek tarah ki maas ki gaanth rehti hai jo ki intestine me hoti hai or usme bachcho ko stool ke sath beech beech mein blood aata rehta hai. To ab ye sab karando ka diagnosis karne ke liye ek bhut hi simple janch hoti hai jisko hum kehte hain colonoscopy. Isme 5 -10 minute mein hum pura intestine ki testing karke aapko karand bhi aur uska kuch cases me uska ilaaj bhi endoscopy ke zariya ho jata hai jaise ki endoscopy polypectomy ya koi kai bar early cancer ka ilaaj bhi hum endoscopic nayi technique se kar sakte hai.

Ye diagnosis ke sath sath hum hume yeh bhi dekhna chahiye ki kuch cases me bleeding aant se obvious nahi hoti matlab patient symptom directly ye karke nahi aata ki hume stool me blood aa raha hai, unme ye dekha gaya hai ki bhae chronic anaemia se ajate hai, unka khoon kam hojata hai to aise cases me ye important hai ke agar patient ye kahe ki mujhe anaemia hai, anaemia ki diagnosis me hume koi or karand nahi milra to aise me intestine ki jaanch jarur kara leni chahye kai bar vahi ek karand milta hai. To ab mai apko iss vishaye me ek important salah ye dena chah rahi hu ki jo agar kisi ko stool me blood aa raha ho to usko undekha na karein, uska timely jaanch karaye, proper doctor ke paas jane se na jhichke or proper jaanch ke baad timely treatment karane me deri na karein. Yahi meri salah rahegi. Dhanyavad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Blood in Stools treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details