Blood In Urine
Hi,
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat, Urologist. Aaj mai aap ko blood in urine ke baare mein btaunga. Agar aap ko ye problem hai toh ise andekha na karein. Urine mein blood aane ke kayi reason ho sakte hain. Agar aap ka age 40 above hai aur aap ko urine mein blood aa raha hai and pain bhi nahi hai toh aap urologist se suggestion lein. Agar aisa hota hai toh aap ko kidney ke aas pass kahin tumor ho sakta hai and cancerous sabit ho sakta hai. Agar aap ko aisi problem hai toh without fail urologist se consult karein. Kyuki jab bhi koi tumor initial stage mein hota hai toh iska ilaj asan hai and kafi successful hai.
Urine mein blood aane ke kayi karann hain. Aap ko prostate ho sakta hai, dusra peshab ke thaile mein tumor ho sakta hai, kidney stone ho sakta hai ya fir aap ko kidney ya fir kidney ki naali mein TB bhi ho sakta hai. Toh mai aap ko yahi salah dunga ki agar aap ko urine mein blood aya hai toh isko ignore na karein. Infection ho sakta hai, tumor ho sakta hai jo cancerous ho sakta hai, stone ho sakta hai and TB ho sakta hai. Isliya aap ko aisa kuch bhi dikhta hai toh aap jaldi ho urologist se consult karein. Peshab ke thaile ka cancer, kidney ya kidney ki naali ka cancer, ye bimariyan cigrette peene vale ya fir die factory mein kam karne valon mein jyada dekha gaya hai. Isliye aap urologist se consult jarur karein. Agar aap initial stage pe hi consult karte hain to durbin se bimari ka ilaj asani se kiya ja sakta hai. Treatment ka outcome bhi patient ke liya acha hota hai. Mai umid karta hun ki aap ko meri baat samajh mein aayi hogi.
Thank You.