Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Breast Cancer: Diagnosis and Treatment

Profile Image
Dr. Arun Kumar GoelOncologist • 38 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, FICS (Surgical Oncology), Fellowship of Association of Indian Surgeons(FAIS), Fellowship in Minimal Access Surgery(FMAS) & Reproductive Medicine, Fellowship of Indian Association of Gastrointestinal Endo Surgeons (FIAGES)
lybrate_youtube

Namaskar,

Mai Dr. Arun Kumar Goel, Max Super Speciality Hospital, Vaishali, Ghaziabad mein Cancer Surgery department ka head hoon, aur breast oncology unit ka director bhi hoon.

Mere main area of interest me breast cancer ka management ek pramukh area hai, breast cancer mahilaon ka sabse common cancer hai jo major cities hai metropolitan Delhi- NCR, Bombay aur aisi cities mein. Aur iska jo incidence hai woh badhta ja raha hai jiske kai karan hai, isme breast cancer ke ilaj mein pichle 30-40 saalon mein bahut tarakki hui hai aur aaj ke din hum dekhte hain ki breast cancer ke marijoo ka survival rate hai woh 90% se upar hai, lekin itna achha survival achieve karne ke liye hame jo hai uski diagnosis bahut jaldi karni padti hai. Toh yeh ek bahut sabse important baat hai, jo sabse common symptom hai breast cancer ka woh hai breast mein ek lump ya ganth ka hona.

Ab breast ki ganthe kuch cancerous hoti hai kuch non-cancerous hoti hai, lekin jab bhi koi ganth ho toh yeh possibility zaroor sochna chahiye ki kahi cancer to nahi hai aur turant ek cancer specialist ya breast surgeon se opinion lena chahiye. Cancer ki diagnosis banane ke liye usme kuch janche hoti hai jisme mammography ya ultrasound hota hai, fine needle aspiration cytology ya biopsy hoti hai aur kabhi kabhi breast ka MRI bhi kiya jata hai. Toh agar cancer confirm hota hai toh phir uske baad kuch staging test karte hain yeh dekhne ke liye ki bimari sharir mein kahin faili toh nahi hai, jyadatar cases me bimari localised hoti hai aur uska ilaj jo hai sabse pehle operation ya surgery ke dwara kiya jata hai jo meri main feild hai. Jyadatar logo ko breast cancer surgery mein jo pareshani hoti hai ki pehle ilaj hota tha usme purye breast ko remove kiya jata tha jise hum log mastectomy kehte thye, lekin agar mareez early stage mein aata hai ganth bahut badi nahi hai to pura breast nikalna zaroori nahi hai, hum log breast conservation surgery ke dwara breast ko bchaa sakte hain.

Isme aage aur kafi advances huye hai aur aaj kal hum log jo approach follow karte hain jis bolte hain oncoplastic breast conservation surgery, jisme jo cosmetic results pehle se bhi bheter hai. Agar kuch marijoo mein pura breast nikalna zaroori bhi hota hai toh reconstruction bhi kiya ja sakta hai. Aur ek nai approach jo surgery mein aaj kal hum log use kar rahe hai jise kehte hain Sentinel lymph Node Biopsy, yeh armpit ki jo ganthe hoti hain nodes unke management ke liye ek latest approach hai aur iss approach ka istemal karne se jo hathon mein sujan aane ka risk hai Lymphedema wo kafi kam ho jati hai. Toh surgery basically jo ho jati hai uske baad kuch marijoo mein additional treatment ki zaroorat ho sakti hai jaise chemotherapy hai, radiotherapy hai, ya kuch dawaiya hai jo hormonal intervention karti hain. Toh surgery ke baad kafi marijoo mein jo pehela ilaj hoga woh chemotherapy hota hai, jo 4 se 8 cycle tak diya ja sakta hai. Radiotherapy jin marijoo mein hoti hai woh bhi again aaj kal karib 3 hafte mein puri ho jati hai jo ki pehle usme 6 se 7 hafte lagte thye, aur nahi radiation technology ke through jo side effects hai radiation ke wo kafi kam ho gaye hain. Isi prakar hormonal therapy jo hai woh yeh radiation or chemo khatam hone ke baad di jati hai jis mein sirf ek tablet hoti hai jo marijoo ko ghar pe regular istemal karna padta hai aur wo 5 se 10 saal tak use ki ja sakti hai.

Ek aur important cheez yeh hai ki jo bhi cancer ke marij hote hain unko ek regular follow up pe chalna padta hai, toh ilaj pura hone ke baad har 3 mahine baad unhe apne surgeon ke pass follow up ke liye jana chahiye, jisme examination jo hai woh ek bahut important part hai. Phir uske baad kuch testing ho sakti hai jaise chhati ka x-ray hai, ultrasound hai, mammography hai, aur agar koi aur takleef hoti hai tu Bol Scan, MRI, CT ya Pet Scan bhi kiya ja sakta hai. Iske alawa breast cancer ke marijoo mein jo ek aur cheez hoti hai hum log ek jo usko promote karte hain woh hai support group ka concept, jisme breast cancer ke survival aapas mein milte hain, ek doosre se cheeze discuss karte hain aur support bhi provide kar sakte hain aur isse unki jo future life hai wo kafi better rehti hai. Toh mein yahi kahunga ke cancer se aapko waise bhi nahi darna chahiye aur breast cancer ke jo aaj ke din success rate hai wo bahut hi acchi hai toh bina darre janch karaye aur apna ilaj pura kare.

 

Dhanyavad, Thank you.

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Breast Cancer treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details