Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 23, 2023
BookMark
Report

Breast Hypertrophy

Profile Image
Dr. Nishant ChhajerCosmetic/Plastic Surgeon • 20 Years Exp.M. Ch. (Plastic Surgery), MS - General Surgery, MBBS
lybrate_youtube

Hello,

Me Dr. Nishant Chhajer, apka swagat krta hun. Hum yahan har parkar ki cosmetic and plastic surgery ki facilities dete hain. Hair transplant, breast and liposuction or sab facilities dete hain. Aaj hum baat krenge breast hypertrophy ki. Ye bhut hi common problem hai. Ye kafi problem hai females me. Ye ek problem hai enlarged breast ka. Iski vjha se neck pain hona, back pain hona. Bra ki strap ki vajaha se shoulder or skin me gadhe hona. Kapdon ka sahi se naa aa pana. Iski vajaha se depression ka bhi problem ho skta hai. Enlarged breast apko sone, psychological and sexual act me bhi apko problem karte hain. Iske alawa fungal infection ki bhi problem apko ho skti hai. Agar aap fungal infections ki cream laga ke bhi thik karenge to uske thik hone ke chances itne nahi hote hain. Actually problem hai aapke bade breast. Iske liye ek hi solution hai and vo hai excess volume ko kum kerna. Iske lia ek surgery ki jarurat hoti hai. Isko plastic/cosmetic surgeon ke through kia jata hai or ise breast reduction kehte hain. Ye bahut hi safe procedure hai. Is se na hi apka volume kam hota hai balki sari problem se apko relief milta hai. Agar aap dekhen to tight bra ya fir diet se iska solution apko easily nhi milta hai and quality of life bhi compromise ho jati hai.

Ye bhut hi safe procedure hai. Is se apko sari problem se chutkara mil jata hai. Ab tak ki studies me ye dekha gya hai ki is s bhut improvements hote hain. Jaise neck pain, back pain, shoulder pain se apko relief milta hai. Skin infection ka risk kam ho jata hai. Apka body shape bhi improve ho jata hai. Apka self-esteem bhi improve ho jata hai. Psycho-social behavior improve ho jata hai. Bhut log apna confidence loose kar dete hain, un sab me bhi improvement hota hai. Apka sleep pattern bhi improve hota hai. Apka sexual relation bhi improve hota hai. Surgery bhut hi safe hai. But kam scars apko aate hain. Maximum nishan apke breast ke niche aate hain jo easily visible nhi hote hain. Breast reduction ki surgery ke different types hain jo size and shape pe depend krta hai. Agar aap is problem se preshan hain to diet and weight reduction se jyada behtar surgery apko result deti hai. Quality of life bhi apka improve hota hai.

Dhanywad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Male Breast treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details