Briefing On Sunscreen
Hello,
I am Dr. Shruti Kohli, Dermatologist. I am practicing as a dermatologist from last 15 years. Aaj hum baat krenge sunscreen ke bare me. Kis type ka sunscreen use krna hai and konsa apki skin ke lia acha hai. Myth hai ki sunscreen summer days me hi lgaya jata hai. UV rays har season me hoti hain. Sun me jane se half an hour pehle apko sunscreen apply krna hota hai. Kitna SPF Indian skin ke lia acha hai? Minimum 30 SPF hmare skin ke lia required hai. Jinka harsh sun exposure hai vo up to 50-60 SPF apply kr skte hain. Swimming ke time tanning se bachne ke lia water resistant sunscreen available hain. Oily skin ke lia matte or gel finish ke sunscreen aap apply kr skte hain.
Dry skin ke lia creamy sunscreen ache hote hain. Sensitive skin ke lia hypoallergenic sunscreen aate hain. Ache quality ke sunscreen me fragrance nhi hoti. Fragrance vale products allergy ke chances ko badhte hain. sun rays se pigmentation, wrinkles, freckles ka risk hota hai. Bachon ke lia bhi sunscreen ate hain jinke upar likha hota hai kids safe. Iske alwa apko koi bhi query hai to aap mujhe Lybrate ke through contact kar skte hain.
Thank You!