Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Cancer: What You Need To Know?

Profile Image
Dr. Arun Kumar GoelOncologist • 39 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, FICS (Surgical Oncology), Fellowship of Association of Indian Surgeons(FAIS), Fellowship in Minimal Access Surgery(FMAS) & Reproductive Medicine, Fellowship of Indian Association of Gastrointestinal Endo Surgeons (FIAGES)
lybrate_youtube

Namaskar! Mai Dr. Arun Kumar Goel, Max Superspeciality Hospital Vaishali mei cancer surgery vibhag mei senior consultant hun.

Aaj mai aapko kuch cancer ke baare mein samanya jaankari dena chahta hun , taaki aap samajh sakein ki iss bimari ke kaaran kya hain? Iss se bacha kaise ja sakta hai? Iske diagnosis kaise hoti hai? Aur, iska ilaaj kaise hota hai?

Sabse mukhya ye hai ki jankari mai jo samajhta hun, vo is bimari se jo darr hai logon ke man me, us s apko bacha sakti hai. Pehli chiz to ye ki cancer, sharir ke jo cells the hain ya koshikayein, unki ek bimari hai. Normally, jab ye koshikayin multiply krti hain ya nyi koshikayein bnati hain to vo ek controlled tarike se hota hai. Lekin cancer me koshikayon ka uncontrolled tarike se banna hota hai, jrurat se jyada koshikayein banti rehti hain. Isme body ka jo control hai vo khtm ho jata hai. Or ye cells jahan se shurat hoti hai vhan se failti hain or sharir ke dusre hison me chali jati hain, ultimately sharir ko khokla krti hain or mariz ki jaan le leti hain.

Ye bimari pehle kaafi lailaj samjhi jati thi. Par pichle 30-40 saalon me jitni taraki hui hai, uske bad aaj jo bimari me success hai safalta hai ilaj ki, vo bhut achi hai. Agar hum log early stage me bimari ko pakad lein, to 80-90% insano me ye bimari jadd se khatam ho jati hai. Sabse pehle mai apko iske kaaran btana chahunga. Ek pramuh kaaran hai tobacco. Har trha se tobacco ka istemaal khatarnak hai. Aur cancer ho skta hai muh ka, galle ka, fefadon ka, urinary bladder ka. Labhag 1/3 cancer duniya me tobacco ki vjha se hai. To tobacco ka istemal bhut khtarnak chiz hai. Iske alwa jo or risk factors hain vo hai virus infection.

Jaise liver mein hepatitis-B, C infection hai. Fir uterus me human papillomavirus infection hai. Inme se kuch ke liye jaise liver ke liye vaccine available hai or cervical cancer k liye HPV vaccine available hai. To ye vaccination krne k liye in cancer se kafi bachav ho skta hai. Iske alwa kuch cancers hain jo badhti hui umar ke sath hote hain. Isliye aapko inke symptoms ko janna or inka ilaj krana important hai. Radiation exposures bhi cancer ka ek kaaran hota hai. Jarurat se jyada radiation exposures hai jaise unnecessary x-ray karana hai, vo avoid krna chaiye. Kuch radiation hamare background me hota hai jisko aap avoid nhi kar skte hain. To main chiz apko ye smjhna hai ki cancer ko early kaise detect kren.

To cancer ka ek symptom specific nhi hai. Sharir ke jis bhag me cancer hai, us se related symptoms hain, jo cancerous or non-cancerous sab bimariyon mei ho skta hai. Ek advice ye hota hai ki koi bhi symptom agar 2-3 hafte tak hai, uska kaaran nhi pta lag rha hai to uski janch krayein. Or agar cancer ka shakh hai to related testing hoti hai jisme x-rays ho skte hain. Or kayi bar needle test se biopsy ki jati hai. Or agar early stage mei bimari pakad me aa gyi to uska ilaj turant or achi jgha pe krana chaiye. Cancer ke ilaj mei operation, radiotherapy, chemotherapy. Ye 3 therapy ke through ilaj hote hain. Alag alag marizon me konsa ila hoga ye caner ke specialist decide krte hain. Kafi marizon mei ek se jyada trha ka ilaj kia jata hai.

To jo bhi ilaj ho vo pura ilaj krna chaiye. Iss se bimari jadd se khatam ho jati hai. Aurr uska vapis aane ka risk bhi khatam ho jata hai. To mai yahi kehna chahunga ki sabse pehle is bimari se dariye nhi. Agar koi bhi symptom 2-3 mahine mei thik nhi ho rahein hain to cancer ke bare mei soche, uski janch krayein or agar cancer nikalta hai to uska pura ilaj krayein. To aisa krne se aap bimari se jaad se mukti paa skte hain. Agar cancer ke bare mei apke mann mei koi shakh hai, koi janch krana chahte hain, opinion lena chahte hain to aap mujhe Max Superspeciality Hospital Vaishali mei contact kar sakte hain. Iske alawa aap mujhe Lybrate ke through bhi contact kar sakte hain. Online consultations bhi possible hain. Aur agar koi bhi shakh ya daar ho, to hesitate na karein.

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Cancer treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details