Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Cataract Surgery

Profile Image
Dr. Rajeev GuptaOphthalmologist • 31 Years Exp.MBBS, MS - Ophthalmology
lybrate_youtube

Main Dr Rajeev Gupta ek eye surgeon hu. Meri clinic, Om Eye Centre, jo ki Vasishali, Ghaziabad me siddh hai. Aaj me apko Cataract Surgery k baare me batana chahunga.

Cataract, jise hum motiyabind bhi kehte h, ankho ki wo beemari hai jisme aankho k lense ki transparency dheere dheere kam hone lagti hai aur isse ankho ki roshni kaafi kam hojati hai. Iska ilaaj cataract surgery he hai. Isme koi dawaiya kaam nahi karti hai. Cataract surgery me ankho k defective lens ko nikal kar artificial lens laga dia jata hai, jisse hume fir se dikhna shuru hojata hai. Aaj kal cataract surgery ki latest technique ka naam Phacoemulsification hai. Isme hume ek chote se cheere se phacoe probe ko ankh k ander dala jata hai. Ye motiye k, yani cataract k defected lens k chote chote pieces ko pighla k bahar nikal deta hai. Aur fir usi cheere se artificial lens ankho k ander laga diya jata hai.

Jo lens ankho ke ander lagaya jata hai, use hum mukhya roop se 2 tarah se divide kia ja sakta h;

  • Unifocal lens
  • Multifocal lens

Unifocal Lens:    Jese ki naam se pata lagta hai, unifocal lens ek point pe focus banata hai. Suppose, agar humara lens door k object pe focus bana raha hai to nazdeeki cheez saaf nazar nahi aegi. Aur agar pass ki object pe focus bana raha hai to door ki cheezein saaf nazar nahi aegi. Islie is lens ke sath hume chashma lagana he padega, jo ki hume patients ko pass ki nazar ka chashma lagana he padta hai saaf dekhne ke lie.

 Multifocal Lens:    Multifocal lens 2-3 jagah pe focus bana sakta hai. Aur iski madad se hume nazdeek or door, dono theek se dikhai de sakta hai. Lekin Multifocal lens has some disadvantages over Unifocal lens. like;

  • Multifocal lens me hume image ka contrast kam milega in comparitive to Unifocal lens.
  • Multifocal lens me Glare and Halos dikhai dene ke zada chances hote hai

Konse patients ko Unifocal lens chahie or konse patient ko multifocal lens chaie, ye patients khud decide kar sakte h, according to their choice and work. Jin patents pe operation se pehle he cylindrical number zada hota hai, un patients ko focus banane k lie aise lens ki zarurat hoti hai jinme cylindrical power ho. Aise lens ko hum Toric lens bhi kehte hai.

Yani ki aise patients k liye, Unifocal toric lens ya fir Multifocal toric lens he zada acche maane jate hai jinko ki wo choose kar sakte hai.

Cataract surgery k results aj ki tareek me bohot acche hai. Lekin ultimate visual gain after cataract after the sugery depends on the condition of the eyes before sugery and how the surgery works on the patients.

Thank you.

 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Cataract Surgery treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details