Chronic Cough
Namaskar,
I am Dr. Prashant Saxena, Pulmonologist. Aaj me apse khasi ke bare me baat krunga. Khasi se hum apne galle ko clean kr skte hain. Khasi kam time ke lia hoti hai lkin kabhi kabhi ye 2-3 weeks se bhi jyada ho skti hai. Ise hum chronic cough bolte hain. Chronic cough lungs ke infection or swelling ki vjha se hota hai. Iske causes hain sinusitis, asthma, COPD, chronic bronchitis. Iske symptoms hain blocked nose, sneezing, khatti burp, ear blockage, headache, blood in cough, fever, weight loss. Dr ke pass jayen and recommended test krayein like blood test, chest x-ray, sinus x-ray, CT scan. Uske baad dekha jata hai ki ye problem hui kyu hai to uska treatment dia jata hai.
Pulmonary test regularly krana hai. Kuch home remdies hai like avoid coffee, tea, smoking and alcohol at night. Eat light food at night. Fried and spicy food apko nhi lena hai. Problem hone par garam pani se gargles kren. Thoda thoda pani peete rhen taki muh dry na ho. Nasal spray bhi aap apne sath carry kr skte hain. Mask use kren like N95 mask. Poolution me aap mask pehen ke hi travel kren jis se apko khasi ka attack na aye.
Thank You!