Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report
Chronic Diseases
Dr. Ravinder KaushikAyurvedic Doctor • 13 Years Exp.Pulse Diagnosis Expert - Fundamentals of Ayurvedic Medicine, Diploma in Naturopathy & Yogic Science (DNYS), Bachelor of Naturopathy & Yogic Sciences (BNYS)
▶
Namaskar, main Vedya Ravindra Kaushik, ek certified Pulse diagnosis expert hoon. Pichle 6 saalo se hum Chronic diseases ke root causes ka upchaar karte aa rahe hai. Aur majorly jin diseases ka humne safal upchaar taiyaar kiya hai, un diseases me major diseases jo ki involved hai, wo hai, heart diseases, infertility, Diabetes, arthritis etc hai. Yeh chronic diseases aaj kal har ghar me kisi na kisi family member ko hoti hai.
Sabse pehle main apne process ko samjhana chahunga-
- Sabse pehle hum pulse diagnosis karte hai. Isme hum basically body ke constitution ko study karte hai kyuki beemari ek hoti hai lekin uske causes alag-alag ho sakte hai. For example, person A me wo root cause alag hai, person B me root cause alag hai aur person C me root cause kuch aur hai. Root cause ke basis pe medicines change hojati hai, diet instructions bhi change hojate hai. Isliye hum sabse pehle body constituents ko study karte hai pulse diagnosis ke through.
- Body constituents study karne ke baad hum herbal medicines taiyar karte hai depending on the root cause. Jab patient herbal remedies and dietry ko follow karta hai, to patient apni chronic diseases se free hojata hai.
Aap humse contact karne ke liye humari Lybrate profile se humse connect ho sakte hai, ya fir aap directly humare clinic me visit kar sakte hai. Humare 3 clinics hai. Ek Rohini me aur 2 clinic Gurgaon me.
Thank you.