Chronic Hepatitis B and C - What Should You Know About It?
Namaskar,
Maine Dr. Piyush Ranjan, Delhi mein consultant hoon gastroenterology mein.
Aaj main aap se liver ki ek kafi common condition chronic hepatitis B aur hepatitis C ke baare main kuch jankari share karunga. Hepatitis B aur hepatitis C ye virus hote hai jinka sankraman hone par jinke infection se liver mein ek tarha ka permanent damage shuru ho sakta hai, shuruaat ke stage mein chronic hepatitis jiska arth hai liver mein inflammation hona wo hota hai aur agar ye untreated chalti rahe to isse liver cirrhosis ho sakta hai ya liver ke andar cancer ho sakta hai ya liver tumor ban sakta hai. Hepatitis aur B hepatitis C ke failne ka karan agar ham dekhen to kuch cheezen inme common hoti hain ye cheezen infected blood transfusion, unprotected sexual contact, intravenous injections yani jo log intravenous drug abuse karte hain unme iski infection kafi jyada dekhi jati hai.
Hepatitis B iske alava maa se bacchon mein aane wali yani ki vertical transmission ya janmjaat kai bar aati hai. Hepatitis B ke liye sabse achcha tarika hai hepatitis B ka prevention hai, vaccination hai. Aaj hamare desh mein janm ke samay hi sabko hepatitis B ke tiike lagaye jaate hain, agar future mein aapne pehle nahi lagaye hain to inko lagana chahiye ye kafi karygar tarika hai aur yadi aapko hepatitis-B sankraman paya jata hai to fir iske liye iske aage tests ki jarurat hai. Har hepatitis B infected patient ko koi treatment ki jarurat pade aisa nahin hota hai uske liye tests hote hain jinke aadhar per virus kitne number mein sharir mein hai aur liver ki kya condition hai iske basis per ye decide karte hain ki iski treatment ki jarurat hai ya nahi hai aur ismein regular follow-up ki jarurat hoti hai aur agar jarurat ho to iske liye kaafi karygar goliyan hain jo ki isko control kar sakti hain.
Isi tarah se hepatitis C jo infection hota hai iske liye jo hai ye ek science mein bohot hi important development pichle 5 saalon mein jo infection kafi mahange injections ke sath bhi nearly 50 to 60 percent success rate tha aaj iski goliyan hoti hai ye duniya ke baaki deshon se agar compare karen to kafi kam cost mein India mein milti hain aur inka success rate nearly 95 to 100% hota hai.
To agar aapke liver function test mein koi kharabi najar aati hai ya aapko past mein kabhi jaundice hua hai ya aapke ghar mein koi hepatitis B or C se pidit hai to apna bhi blood hepatitis B aur C ke liye test karayen aur agar ye infection aata hai to aap mujhse ya kisi bhi reputed doctor se gastroenterologist se sampark karen taki iska ilaaj karke liver ko future mein aur kharab hone se roka ja sake.
Dhanyvad.