Chronic Kidney Disease
I am Dr Ravinder Singh Bhadoria consultant Nephrologist, working at Yashoda Hospital and Kailash Hospital Noida. Aaj mein aapko chronic kidney disease ke bare mein avgat karwana chahunga. Chronic kidney disease kidney ki wo samsaya hai jo permanent proof se hoti hai, amuman 3 mahine se jayada aur usme sudhar ki gunjaish bahut kam reheti hai. Iss bimari ko aaj ka sabse jayda mukhya karan diabetes hai, blood pressure hai aur jinko baar-baar kidney mein rukawat hoti hai, stone hota raheta ho uski wajah se kidney mein rukawat hoti hai, baar-baar kidney mein infection hota hai. Jo log amuman lambe tor tak pain killers lete rehte hai, ya kuch ko germonal disease hote hai, jiski wajah se dhire-dhire kidney damage hone lagti hai. Kuch logo mein yeh kidney ki samsya bachpan se hi hoti hai. Yadi aapko chronic kidney disease ke baaray mein pata chale toh isse aapko doctor ko sampark karna chahiye amuman shurwati stage mein iska malum hi nahi chal pata hai, toh jab aapko doctors se touch mein rahege to iss bimari ko kafi hadd tak control mein rakha ja sakta hai. Isko badne se roka ja sakta hai. 2-3 baaton ki sawdhani hamesha bartani hai pain killers avoid karna hai jab beech mein bhi kabhi bhi bukhar aata hai toh, doctor se turant sampark mein rehna hai, unhi dawaiyon ka sewan karna hai jo kidney ko kam se kam nuksaan pahuchaye. Jab kidney ki samsya bahut jayada ho jati hai, uske lakshan bahut budd jate hai, jisse jiwan less than 10 percent kidney kaam karne lagti hai, toh tab aapko Dialysis ki jarorat padti hai. Dialysis karne ke liye hamare pass 2 vikalp rehte hai, ek hemodialysis and peritoneal dialysis. Jab dialysis ki samsya aapko lagti hai ki jaroorat ho gayi hai toh kidney transplant ke bare mein sochna chahiye, transplant karne ke liye donor family ke under se hi hona chahiye jiska blood group same ho, ya phir dusara blood group ka bhi transplant aaj ki tarik mein kiya ja sakta hai. Kidney Transplant karne ke baad admi ek safal apna jiwan jee sakta hai, kuch dawaiyon ki madad se. Uske alawa kidney ki bimari se bachne ke liye kuch baatoo ka dhyan rakhna jarori hai jinko sugar ki bimari hai unko apna sugar control rakhna chahiye. Hba1c less then 7percent, jinko blood pressure ki shikayat hai unko blood pressure ka behtar control rakhna zaroori hota hai. Agar aap smoking karte hai, toh smoking ko bilkul bandh kar dijiye. Agar aapka vajan jayada hai toh uss vajan ko control karne ki koshish kariye. Ek seemit life style jieye, ek healthy life style ka aap palan kariye. Phir bhi iske alawa aur kuch aapko Chronic Kidney disease ke bare mein koi jankari chahiye ho, ya koi samsya ho, jiske liye aap mere pramarsh karna chahte ho toh aap mujh se Lybrate pe contact kar sakte hai ya Yashoda or Kailash Hospital mein personally mill sakte hai. Thanks a lot.