Club Foot - How To Treat It?
Hi,
I am Dr. Nargesh Agrawal aaj mai aap ko club foot ke baare mein bataunga. Ismein bachon ke paair ghume hue hote hain. Is bimari ke baare mein bache ke paida hone se pehle hume ultrasound ke time pe hi pata chal jaati hai. So, treatment should be started as early as possible. Jaise hi bacha paida hota hai, from day 1 hi hume treatment shuru kar dena chaiye. Parents question karte hain ki aisa mere bache ke sath kyun hua hai? Iske kayi sare karan hai jaise maa mein pani ki kami hona, kuch genetic reasons bhi hote hain, mascular reasons hain. Isko hum idiopathic clubfoot bolte hain. Ismein parents puchte hain ki iska ilaj kya hai? Kya unka bacha chal payega ki nahi? Jitna jaldi aap treatment shuru karte hain, uska utna hi acha result ata hai. Isko hum jaldi hi correct kar sakte hain. Ismein 3-4 plasters lagaye jate hain. Uske baad chote se operation ki jarurat padti hai jismein hum pairon ki ek nerve ko repair karte hain. Ismein bohot chota cut diya jata hai jismein stitches dene ki bhi jarurat nahi padti hai. Ise hum local anasthesia mein kar dete hain.
Bache ko admit karne ki jarurat bhi nahi padti hai. Uske baad 4-5 plasters mein bache ka pair thik ho jata hai. Parents question karte hain ki bache ko operation se koi problem toh nahi ayegi. Toh aisa nahi hai. Bacha bilkul thik rehta hai. Ismein bache mein nayi nus develop hoti hai. Operation ke baad bache ko hum braces se bandh dete hain. Ismein patient question puchte hain ki kya rod lagana jaruri hota hai. Yes, ye important hai kyuki tabhi pair correct position mein aata hai. 3 months me bache ko acha result mil jata hai. Shuru mein bache ko dikkat hoti hai but dheere dheere bacha bilkul thik ho jata hai. Humein plaster 4-5 years tak bache ko pehnana hota hai. Bache ko shoes shuru ke 3 months tak pehnane hote hain. Bache ko ye shoes 4-5 years tak pehnaye jaate hain aur jab vo soo raha ho tab pehnaye jate hain. Humare paas aaj ek parents available hain. Mai unka feedback aap ko dilvata hun. Ye aap ko btayenge ki total treatment kaisa raha or kya kya problems hui. Kya outcome aaya hai.
Parents: Humara beta clubfoot ke sath paida hua tha. Hum kafi preshan the ki kis tarike se uske pair thik honge. Mene kafi search kiya online and tab jake mujhe in Dr. ke baare mein pata chala. Maine online review bhi dekhe. Mere bete ko inhone 6 plasters lagaye the jisse mera beta bilkul thik ho gaya. Dr. ne jo shoes recommend kiya hain vo hum apne bache ko pehna rhein hain. Ye 3 months ka process hain and hume ye shoes 3 months tak pehnane hain.
Dr: Aap ka operation kaisa raha. Aap ko kya kya problem hui.
Parents: Surgery kafi achi rahi. Bacha thoda roya tha baki koi bhi problem nahi hui. Ab after treatment hum kafi satisfied hain results se. Abhi humare bete ke pair bilkul thik hain. Sath folllow-ups bhi chal rhein hain.
Dr: Ye parents mere pass right clubfoot ki problem leke aaye the. Jab ye bache ko leke aaye the tab bache ki age 3 months thi. Ye parents dusre Dr. ke pass bhi gaye the but uske baad acha result naa milne ki vajha se mere pass aaye hain.
Parents: Humne kahi aur bhi apne bache ko dikhaya tha but hume vahan se acha result nahi mila. Fir hum in Dr. ke paas aaye aur shuru mein inhone 3-4 plasters kiya. Uske baad mein choti surgery ki. Surgery ke baad 2 plasters aur lgaye gaye and ab shoes pehanaye gaye hain. Ab mere bete ka pair kafi thik hai. Kafi acha experience bhi raha humara. Dr. ne jo humein exercises btayi hain vo hum apne bache ki daily karte hain. In Dr. ne hume vo sab btaya ki ye problem bache me kab aati hai. Dr. ki baatein sunte hi humne apne bete ko plaster lagvaya. Uske baad se humara regular Dr. ke sath contact hai.
Parents: Mene apne bache ka operation bhi kraya but us se bache ko koi benefit nahi hua. Mene ek baar aur operation kraya but vahan se bhi acha result nahi mila. Tab mai in Dr. se mila. Inhone mere bache ka ilaj kiya aur ab mera beta legs ki movement kar sakta hai. Pair ab sidha ho gaya hai and upar niche bhi ho raha hai. Ab mera beta sidha bhi chal paa raha hai. Pehle mera beta ulta pair rakh ke chalta tha. Hum in Dr. se bohot satisfied hain.