Common Types Of Cosmetic Surgery Of The Face
Hello,
I am Dr. Lalit Choudhary, Cosmetic/Plastic Surgeon. Today I will talk about types of cosmetic surgery for the face jismein sabse common rhinoplasty hoti hai. Body ki shape maintain karne ke lia bhi hum surgical procedure karte hain. Face pe sabse jyada hair transplantation kia jata hai but agar ise alag subject rakhein toh rhinoplasty hai. Iske 2 components hain. Ek ENT surgeons karte hain jismein septum involve hota hai. 2nd hai aesthetic rhinoplasty. Ismein septum and puri nose mein agar koi kharabi ya tedha pan hai toh use thik kia jata hai. Rhinoplasty ki market mein humesha need rahi hai and log iske lia aate hain. Par iske sath important chiz hai ki rhinoplasty mein kuch log marriage ke pass aate hain ya jaw public relation mein hain. Dusra rhinoplasty ke lia vo aate hain jo disturb hain body image ko leke. Body image ke lia jo aaye hain unhein counseling ki jarurat hai aur btana jaruri hai ki is se hum kya aur kitna change kar payenge. Nose mein bone ke alaw cartilage hota hai and iski apni memory hoti hai. Toh aap use kitna bhi sidha kar do par vo 10-20% vapas apne natural look mein jata hi hai. Ye chiz patient ko baad mein disturb karti hai. Agar kuch patients photo leke aate hain ki humein aisa banna hai toh aap ko careful rehna hai. Kyuki agar aap ko lagta hai ki surgical same result possible nahi hai toh aap mana kar dein. Kuch patients suicide attempt tak karte hain.
Aise patients mein psychiatric evaluation bahut important hai. Uske baad use realistic approach samjh aa jaye on paper dikha ke tabhi hi surgery karni chaiye. Rhinoplasty kuch congenital cases mein hoti hai jaise cleft issue hai ya nose mein tedha part hai. Septum aap ka company insurance mein cover hota hai but aesthetic aap ka insurance mein cover nahi hota. Rhinoplasty 16-18 saal ke baad hi aap ko di jaati hai. Nahi toh ye growth mein interfere karta hai. Islia age factor ka dhyan rakehin. Agar kisi trauma ya fir infection se nose ki shape mein isue aaya hai toh unko explain kar ke hum treatment dete hain. Rhinoplasty ka treatment number mein increase kar gaya hai. Image se bhi patients ko effect padta hai. Maan lijiye ki 2 OT mein se 1 toh rhinoplasty case hota hi hoga. Sabse common hai ye. Next common hai lip se related, eyelid se related ya fir face pe aur koi problem. But mai rhinoplasty ke baare mein hi baat karunga. Rhinoplasty closed and open pe bahut debate raha. But ismein major fark nahi hai. Ismein naak mein niche ke side chota sa cut ata hai, usi se open ho jata hai and koi major scar bhi nahi aata hai. 90% rhinoplasty open hoti hai puri duniya mein. Open mein time lagta hai 3-4 hours ka Puri tarah se 2-6 mahine lagte hain sujan jaane mein. Par aap 3 weeks mein normal life mein aa sakte hain. Iske alwa agar aap ko koi information chaiye toh aap mujhse consult kar sakte hain.
Thank You.