Dementia
Namaskar, main Dr. Rahul Chandok, Psychiatrist in Fortis Hospital and apne Med Hope Clinic, Faridabad mein practice karta hun.
Aaj me dementia ke bare me baat krunga. Isme memory loss ka problem hota hai. Jo problem apko 30-40 ki age mein hoti hai, vo dementia nahi hoti hai. Ye problem apko tanaav se hoti hai. Actual dementia above 65 age pe hota hai. Patient purani baatein yaad rakhta hai aur roz ki baatein bhoolne lagta hai. Unko aisa lagta hai ki koi unke baare mein baat kar rha hai.
Patient khaana khana, nahaana bhul jata hai. Patient jaise jyada bimar hota hai vaise vo bache ki tarha ban jata hai. Patient ko kya kaam karna hai, vo bhi yaad nahi rehta hai. Daily things ka naam bhulne lagta hai.
Jab patient ki problem zyaada badh jati hai to patient ko psychiatrist ki zarurat pdti hai. Ye problem regular progress karti hai and dheere progress karti hai. Aaj ke time mein treatment ke according hum is bimari ko dheere kr skte hain but ise cure nhi kia ja skta hai. Islia initial stage pe hi iska treatment jruri hai. Jin logon ka lifestyle healthy hota hai, unhe problem kam ho jati hai. Patient ko genetically pe ye problem ho skti hai. Agar apki family me kisiko bhi ye problem hai to Dr se immediately consult kren. Dhanyawad.