Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Depression And Its Symptoms

Profile Image
Dr. Shashi Bhushan KumarPsychiatrist • 26 Years Exp.MBBS, MD - Psychiatry
lybrate_youtube

Hello! Mai

Dr. Shashi Bhushan Kumar. Mai ek psychiatrist hun. Aur mai aaj aap logon ko ek bohot common samasya jo ki hamare samaj mei hota hai, uske baare mei baat karna chahta hun. Ye samasya hai udaasipan ki, jisko ham depression bhi bolte hain. Hamare samaj mei bohot saare log depression se peedit hain. Lekin vo kisi karanvash doctor ke paas aane mei hichkichatein hain. Bohot kam aise log hain jo doctor ke paas aate hain aur uska samadhan dhundhne ki koshish karte hain. Aap sabhi se nivedan hai ki jab bhi kuch iss tarah ki samasyaein jo depression ke baare mei aap mehsoos kar rahe ho, ya koi stress mehsoos kar rahe ho, ya aapko lagta hai ki ajkal ham kuch pareshan chal rahe hain, to uss condition mei aap doctor se jarur mile.

Kisi bhi mano-chikitsak se milkar aap uska samadhaan paa sakte hain. Depression ke common symptom jo hain- ek to udaas rehna hota hai, kaam mei mann nhi lagna hota hai. Jo kaam aap bohot ache se karna pasand karte the, unn sab chizon mei aapka interest ghat-ta chala jata hai. Bohot zada aap niraash ho jate hain to aapko lagta hai ki mai bekaar ho gaya hun, meri zindagi ka koi meaning nhi hai. Fir aapke kuch usmei aatma-hatya karne ke vichar bhi aane lagte hain. To ye sab jo symptoms hote hain, ye sab symptom jab kabhi bhi ho aur kam se kam hafte-das din tak lagatar rehta ho, to uss paristithi mei aap bina der kiye hue kisi bhi maansik rog visheshagya se zarur mile. Aur depression ek treatable disease hai aur depression jo hai ilaaj karne se bilkul thik ho sakta hai. To isliye hichkichayein nhi.

Samaj mei parivartan aa raha hai. Pehle log doctor ke paas jana pasand nhi karte the, especially psychiatrist ke paas. Jisse log bohot dino tak bimar rehte the. Lekin paristithiyan badal rahi hai, samaj ki soch badal rahi hai. To mai aapse guzaarish karta hun ki jab bhi aapko kisi tarah ki samasya ho jo ki lagta hai ki mansik rup se hame aswasth kar raha hai, to zarur kisi mano-chikitsak se milein. Usmei ek mai ho sakta hun, mera naam Shashi Bhushan Kumar hai.  Inn 2 jagao ke aap hamare website se address le sakte hain ya hamare jo appointment ke number hain unpe aap call kar sakte hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Depression treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details