Depression
Hi,
I am Dr. Naresh Mishra, Psychologist. Me aaj apko depression ke bare me btaunga. Sabse pehle ye baat hai ki depression kyu hota hai, kaise hota hai, kitne time ke lia rehta hai, iska treatment kya hai, ye sab me btaunga apko. Depression ek mental state hai jisme symptomshote hain sadness, upset, loneliness.Depression kisi bhi age group ko effect kr skta hai. kuch logon ko lgta hai ki unhe depression hai but aisa bhi hota hai ki depression ki bimari unhe ho jati hai. Kuch logon me dekha gya hai ki medicines ke lia bhagte hain. Unhe lgta hai ki medicines ke alwa unhe or kuch na krna pade and vo is bimari se easily nikal jayein. Kuch logon ko stress, anxiety bhi hota hai but unhe lgta hai ki iska treatment kaise krvaya jaye. Psychiatrist to pagalon ka ilaj krte hain. And ab dekha ja rha hai ki log ab Dr se consult kr rhen hain and unka misconception khtm ho rha hai.
Mene kuch patients aise bhi dekhen hain jo aake mujhse puchte hain ki mediciens se kaise hata jaye quki vo depression ki medicines le rhen hote hain. Aise patients ko bhi hum treatment dete hain. Hmara prime focus yhi hota hai ki patient ko counseling kr ke kaise us bimari se nikala jaye and humne iske chalte kafi successful results dekhen hain. Kuch severe cases me dekha gya hai ki medicines patient ko di jati hai. And agar patient ko medicines me interest nhi hai to unhe khud ko bhi motivate krna hota hai and proper counseling leni hoti hai.
Aaj ke time me har koi stressed hai quki unki life bhagam bhag hai. Kuch logon ke missing goals bhi unhe depression me le jate hain. Depression ke symptoms hain stress, thinking about future, sleep disorder, loss of interest, appetite issue, lack of confidence, trust issues. Islia apko is problem ko delay nhi rna chaiye and immediately Dr se consult krna chaiye. Iska proper treatment available hai. Islia depression ka permanent treatment available hai. Treatment me delay na kren and Dr se consult kren. Iske alwa agar apko koi bhi information chaiye to aap mujhse Lybrate ke through contact kr skte hain.
Thank You.