Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Dhat Syndrome

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 18 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist. Today I will talk about dhat syndrome. Ye koi badi bimari nahi hai. Isko bohut baar hum galatfamio ki bimari samjhte hain. Toh ye dhat syndrome hai kya? Dhat syndrome mein patient ko lagta hai ki mujhe weakness aa raha hai semen bahar jaane ki vajaha se, mujhse thakan aa rahi hai, sex mein issues aa rahein hain. Mera sex power kam ho raha hai. Aisa isliya lagta hai ki dhat bahara jaane ki vajaha se ho raha hai. Ye syndome hota kyu hai. Aisa puran garanthon mein bhi likha hai ki ek boond dhat se 100-200 boond khoon banta hai.Sabko pata hai ki khoon takat deta hai. Isliya logon ko lagta hai ki dhat nikalne se weakness aati hai. 4 tarike se dhat sharir se bahar jaata hai. Masturbation se dhat bahara aata hai.

Patient ko lagta hai ki itne time se mene maturbate kiya hai toh uska khamiyaza kabhi na abhi toh bhugatna padega. Isliya shadi se pehle and baad mein tension mein aa jata hai. 2nd hai nightfall. Agar aap dhat ko bahar nahi nikalte hai sex and maturbation ke through toh ye sharir mein banta rehta hai. Isliya dhat raat ko sote time bahar aa sakta hai. Tisra tab ye aap ke sath ho sakta hai jab aap letrine ke liya jaate hain. Indian style mein baithne se pressure aata hai. 4th agar vo sex ya fir masturbation mein involved nahi hain toh bhi unhein imagination mein hi dhat aa jata hai. Kuch logon ko lagta hai ki jyada sex karne se kamjori aati hai. Ye sari galat dharna hai. Asliyat kya hai? Dhat banta hi isliya hai ki vo body se bahar jaaye. Dhat ka bahar aana bohut jaruri hai and agar ye kafi dino tak bahar nahi aya toh dhat kabhi bhi pane aap bahar aa sakta hai and ye sote time bhi ho sakta hai.

Night fall ko sawapndosh bolte hain. Ye actual body ka kam hai jismein dhat bahar aata hai. Ye dhat bahar kyu ata hai? Ek tanki mein aap agar continously paani bharte raho and niche ka nal band rahe toh tanki overflow ho jayegi. Aise hi dhat overflow ho jata hai. Ye koi syndrome nahi hai. Dhat janne se patient worried jayada ho jaata hai but aisa nahi hona chahiyai. Patient ko anxiety or stress ho sakata hai. Anxiety and depression mein weakness ana sawabhavik hai. Aise mein sex ki desire kam hona bhi sawabhavik hai. Log iske liya medicines bhi lete hain. Agar aap ko anxiety or depression ho toh hi medicines len. Dhat syndrome ke liya aap ko dharna change karni ki jarurat hai. Myths se bahar aane ki jarurat hai. Isliya iske baare mein janiye. Aap ke bohut sare dost and family members bhi aisa sochte hain. Isliya sabo scientific reasons iske pata hone jaruri hain. Mujhse se consult karne ke liya aap Lybrate pe ja sakte hain.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Body Weakness treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details