Diabetes
Hi,
I am Dr. Rajesh Kesari, Endocrinologist. Diabetes ek aisi bimari hai ki agar kisi ko ho jaaye toh vo zindagi bhar sath nahi chodti. Diabetes ek aisi bimari hai jiski vajaha se koi taklif nahi hoti. Iske koi lakshan bhi nahi hote hain. Isliye log iske baare mein kuch nahi karte. Lekin diabetes ek bahut hi ghatak bimari ho sakti hai. Isliye iska ilaj karna, iska dhyaan rakhna bahut jaruri hai. Diabetes kya hai, kyun hota hai, kya kar sakta hai, iske baare mein hum charcha karenge. Diabetes ek snake ki tarah hai. Khali sugar badhne se aap ko koi taklif nahi hoti. Sabse badi diabetes ki complication hai dil ki bimariyan like heart attack kyuki dil mein khoon ki nali jaam hone se heart attack ho sakta hai. Agar dimag mein stroke ho toh paralysis ho sakta hai. Aankhon ke parde mein sujan ho jaati hai. Retinopathy ki vajaha se aankhon ki roshni jaa sakti hai.
Gurde andar se sukad jaate hain. Kidney kharab ho jaati hai. Kidney failure ho sakta hai jiske vajaha se dialysis and kidney transplant karne ki jarurat pad sakti hai. Pairon ki nasen kharab ho sakti hain. Chote ghav ho jaate hain jo thik nahi hote and kabhi kabhi itne jyada ho jaate hain ki uske liya paun ka hissa katnapad jata hai. Diabetes ki vajaha se depression ho sakta hai. Sexual problem ho sakti hai. Isliye diabetes control karna bahit hi jaruri hai. Diabetes kyun hota hai? Kyuki humare sharir mein ek organ hai pancreas, vo thik se agar insulin nahi bana raha hai ya fir kam ya kharab ban raha hai. Type 1 diabetes mein insulin bilkul nahi banti and type 2 diabetes mein insulin banti toh hai lekin jitni jarurat hai us se kam banatai hai.
Hum jo bhi khate hain us se sugar nikalti hai jo khoon mein jaati hai and usse khoon mein sugar ki matra badhti hai. Usko kam karne ya contriol karne ke liya humara sharir banata hai insulin. Ye khoon mein sugar ki matra ko kam karti hai. Diabetes mein insulin banna bilkul band ho jaata hai ya fir bahut kam banta hai. Agara kisi ko ho gayi hai toh kya kar sakte hain. Sabse badi baat diabetes ka ilaj kewal medications and injections se nahi ho sakta hai. Diabetes mein aap apni madad khud kar sakte hain. Diabetes ek lifestyle disease hai. Aap ko apne lifestyle ko change karna hoga. Aap ko apne jiwan ke tor tarike change karne honge. Khane peene mein hari chizen khoob khayein. Jitna ho sake utna salad khayein.
Peat bhar ke aap ko salad khana hai. Rice, maida, potato, inko bahut hi kam matra mein lein ya na hi lein. Wholegrains jyada lein. Fruits jyada khayein. Iske sath sath apne body ki activities increase karien. Jyada se jyada walk karein. Regular walk apka diabetes control rakhta hain and cholesterol kam karta hai. Excess weight bahut badi problem hai. Diabetes ke liya agar aap ko medications prescribed hain toh lete rahein. Diabetes ki medicines har patient ke liya ek jaise nahi hoti hain. Aaj kal diabetes ki aur bhi medicines aa gayi hain jinse aur bhi benefits hote hain. Blood tests bahut important hain khaas kar ki HbA1C. Agar doctor ne aap ko insulin prescribe kiya hai toh lete rahein kyuki ye safe hai. Jaise bhi problem ho, doctor se jarur discuss karien. doctors hi aap ke friends hote hain jo aap ko sahi guidance dete hain.
Thank You.