Diabetes
Hello,
I am Dr. Brij Mohan Makkar, Endocrinologist. Me apko diabetes ke bare me btaunga. Ye major problem hai India me. Log isko neglect krte hain and sugar control pe focus nhi krte hain. Isse vo apna quality of living khrab krte hain. Life span bhi kam hota hai patient ka. Medicines ki requirement bhi patient ki badh jati hai. Blood me sugar badhne se ye body ke har part ko effect krti hai. Is se 3-4 complications badh jate hain jaise diabetes neuropathy. Nerve damage hone se sensation kam ho jate hain. Ye pairon ko effect krta hain jiski vjha se diabetic foot ka complication ho jata hai. Pairon me ulcer bante hain. Gangrene ka risk badh jata hai.
Pairon ke toes or pairon ko katne ki naubat aa skti hai. Dusri problem hai retinopathy. Eyes ki nerve damage ho jati hai. Blindness ka risk badh jata hai. Cataract ka risk bhi hota hai patient ko. kidney damage ka risk badh jata hai. Kidney dialysis or transplant ki jrurat bhi patient ko pad skti hai. Jin logon ko kidney ki problem hoti hai unhe heart attack ka risk bhi badh jata hai. Diabetes ko neglect na kren. Apko apni diet and lifestyle pe focus krna hai. Medications time pe lene hai and sugar bhi timely check krna hai. Regular check-ups essential hain. Regular exercise kren.
Thank You!