Diabetes - How Homeopathy Can Help?
Hello friends!
Mai Dr. Madhav Shyam is video mein aap sabka hardik swagat karta hu. Friends today hum discuss karenge diabetes and diabetes mein homeopathy kaise help kar sakti hai. To sabse pehle hum logo ka janna hai ki diabetes hoti kya hai. Friends jaise hum log jante hai ki diabetes hamari ek metabolic disorder ki vajah se hamare blood mein sugar ka level increase ho jata hai jisse kya hota hai ki hamare bohot sare jisko hum hyperglycemia bhi keh sakte hai. Ye basically iska dekha jaye to ye 2 types ki hoti hai: Type 1 and Type 2. Type 1 mein hota kya hai ki jisme hamara jo pancreas hai jaha se hamara insulin ka secretion hi kam hota hai, production hi kam hota hai. Or second kya hota hai usme type 2 mein insulin ka secretion to hota hai vaha pe lekin vo jo convey hota hai hamare cells tak jo pahuchna chahiye insulin ko metabolic disorder ki vajah se vaha tak convey nahi ho pata hai isko hum type 2 bhi kehte hai, type 2 diabetes mellitus kehte hai isko. Aur isme hum log iska cause dekhe basically cause kya hai to cause mein agar hum log dekhe to aaj ke time mein mental cause jo hai iska bohot he zada matlab aap dekhe to 60-70% mental cause he hai iska diabetes ka. Diabetes ka main cause dekha jaye is regular hamari diabetes habits, obesities, mental tensions and mental ho gaya and dusra genetic cause hoti hai and kuch food pois kuch is tarah ke drug induced hai aur kuch poisonous substances hai; to main cause hum jo focus hai hum log ka vo dekhe to mentals matlab different type ke stress abhi job ka stress hai aur in sab cheezon ki vajah se jo develop hoti hai type 2 diabetes mellitus in sab mein homeopathy ka bohot he ek amazing results hai.
Ab hota kya hai kayi bar hum dekhe to diabetes ke maare all over abhi India mein 6 crore log diabetes se grasith hai jo is tarah se hamare shareer ko, diabetes hone se kya hai? Ki diabetes ko agar hum pura proper agar control na karein, to jin logo ko diabetes hai unme dekhe to 50% logo ko heart ki problem develop hoti hai and 40% logo ko diabetes mein kidney ki problem develop hoti hai. To in dono he cheezon ke liye important hai ki hum apne diabetes ko control karein. Diabetes ko control karne mein itni important cheez hai to hamko kya karna hai isme ki jis tarah se hum apni homeopathy medicine ka course kia hai iss diabetes patient ke liye to diabetes patient mein hum dekhenge ki jis tarah se hamari constitutional medicine hai matlab jo cause dekha jaye to mental cause ya jis tarah se logo ka kisika job choot gaya ho aur kisi ko financial stress ho, kisi ko love break up ho, matlab ye jitne bhi stress ke vajah se ho ya shock ki vajah se jitne bhi problem mein ho to usme agar hum constitutional medicine agar select karke holistic approach ke dwara agar dein to bohot he amazing results hai. To homeopathy se kya hota hai ki hum iske puri tarah se ek to sugar level hum complete karte he karte hai aur dusra kya karte hai stimulation, hamari medicine ka work basically stimulation hai.
Jab stimulate karke jab medicine jati hai vaha pe to pancreas se ek stimulation karke vaha se insulin secrete hota hai aur dusra jo hai hamara jo unki jo inefficiency ho jo hoti hai cells ki vo increase hoti hai glucose ko acceptance ki. To iss tarah se jo hai hum karke diabetes ko control kar sakte hai and uske jo mental symptoms hai; sugar level to hum control karenge aur baki jo physical aur mental jo symptoms hai patient ke jo aur unn sab cheezon mein bhi kafi ahem role hai homeopathy medicine se jaise patient ke bohot diabetic patient mein hum dekhe to jo unke bohot jaldi thak jana aur bohot appetite ka loss hona aur sleep na dhang nela, neend nahi aana, in sab disturb karne ki vajah se dekhte hai ki in sab mein bhi kafi acha help milti hai. Aur second hai ki jaise diet ka bhi hum log kafi control karke matlab proper jaise iske control ke liye hum apni exercise thoda karein aur diet control mein bada he ek ahem role hai. To diet mein agar hum dekhe to uss sugar ke liye 2 tarah ke carbohydrates ka main role hota hai jo hamari diet mein agar dekhe to carbohydrates ka he 70-80% hissa hota hai. Carbohydrates mein hamko 2 tarah ke carbohydrates use hote hai. To carbohydrates mein hum dekhe jaise hum log official work vale jitne log hai usme dekhe to 1600 calories ki avashyakta hoti hai aur jo physical work hai jo hard worker hai unme to 2500-3000 tak ki calories ki avashyakta hoti hai. Toh simple carbohydrate jitne bhi hai jaise sugars ho gaye, chai ho gaya toh in sabme hamara jaa kar ke jo ye sab hai inko consume karke 10-15 minutes mein hamare nas mein aa jate hai to ek to hum inko avoid kare, complex carbohydrates ka he use kare aur dusra jo hai hum iske liye kya karein ki jaise apni calories 1600 calories ke liye usme hum divide karle apni diet ko ki hum abhi vegetables part ko abhi increase karlein, salads part ko increase karein, pani ko increase karein or jo simple carbohydrates hai unko avoid karein. To iss tarah se diet aur homeopathy combination se hum apni sugar ke level ko control kar sakte hai. Aur isse hum jo hai heart ki problem se, kidney ki problem se aur retinopathy se matlab in sari problem se hum bach sakte hai. Aur iske liye hamko kya karna hai ki homeopathy ko proper uske lena hai and diet ko control karna hai.
To homeopathy mein hamari sugar ko he control karenge balki hamare puri tarah se hamko physically aur mentally bhi fit rakhenge. Aur iska jo approach hai basically ki jo hamare mental stress hai aur in sab cheezon ke to unme bhi hamko kafi help milti hai. To ye hai. To iss tarah se homeopathy ka diabetes ke case mein bohot he amazing results hai. To sab log ko he bataye ki aap log jaha bhi hai ek homeopath ko dikhayein and aap isko kisi bhi stage mein jakar ke kyunki homeopathy mein work jo hai cause ko treat karna hota hai naki disease ko. To is tarah se kisi bhi type 1 diabetes ho ya type 2 diabetes ho usme bohot he ek ahem role hai homeopathy medicine ka jaise kuch hamari selective medicine hai jaise phosphoric acid ho gayi, sergigel ho gayi, gynmema ho gayi, uritic nitric acid ho gayi, sodium nitrate ho gaya to in sabka bada he ek ahem role hai.
Mere is video ko dekhne ke liye aap sab logo ka dhanyava!