Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Diabetes In Pregnancy - Precautions & Effects!

Profile Image
Dr. Arun Kumar SinghEndocrinologist • 18 Years Exp.MD - General Medicine, DM - Endocrinology, MBBS
lybrate_youtube

Hello! Aap sabhi ko mera namshkar. Main Dr. Arun Kumar Singh bol rha hun. Mai Endocrinologist hun. Delhi and Faridabad me practice krta hun.

Is video ke madhyam se main apko diabetes in pregnancy ke baare mein kuch batana chahta hun. Jaisa ki aap sab jante hain ki diabetes – madhumeh ek aam samasya ban chuki hai. Ye sirf purshon mei nhi hoti, mahilaon mein bhi hoti hai. Aur pregnancy ke dauraan diabetes ek aam samasya ban chuki hai. Lagbhag 10% pregnant mahilaon me diabetes hoti hai.

Sabse badi bat yeh hai ki iske symptoms nahi hote hain. Isliye kayi baar pata nahi chalta hai. Or agar sahi samay par diabetes pata na chale, ilaaj na ho paaye, to pregnancy pe bura asar padta hai. To iske liye kya kar sakte hain. 2 situations ho sakti hai. Ek to pehle se hi diabetes hota hai, uske baad pregnancy hoti hai. Aur dusra situation ye ho sakta hai ki pregnancy ke baad diabetes ho gya. Jisko hum gestational diabetes mellitus (GDM) bhi bolte hain.

Jisme diabetes pehle se ho or pregnancy baad me ho, usay diabetes bolte hain. So, dono systems mein approach thoda alag hota hai. Ek to agar aapko pehle se pata hai ki aapko diabetes hai, to apne diabetes specialist se salah lein. Pregnancy plan kar ke karen or sure karen ki diabetes ache se controlled hai , uske baad hi pregnancy ke liye jayen. Nahi to jo bachon ka banavat hota hai shuru ke 2-3 mahinon me, uski banavat me kharaabi ho sakti hai or janamjaat bimari ho skti hai.

Fir situation ye hoti hai ki aapko diabetes to thi lekin aapko pata nhi tha. Usme hum kya krte hain ki jab bhi koi pregnant mahila aati hai pregnancy ke sath to unka diabetes ka test shuruaat mein hi kar lete hain. Ye pata lagane ke liye ki kahin pehle se aapko diabetes to nahi hai. Agar diabetes hai to uska immediate treatment shuru kar dete hain. Or jiska test negative aata hai, uska test 7-8 mahine pe dobara test karte hain, GDM pata krne ke lia ki kahin aapko diabetes to nahi ho gaya hai.

Jisko diabetes nahi hai , usko 7-8 mahine pe diabetes ho sakti hai. To diabetes ka test karana or uska ilaaj karana zaruri kyu hai? Ilaaj karna isliye zaruri hai quki agar ilaaj nahi kia gaya to maine pehle hi bataya hai ki pehle se hi agar sugar badhi hai aapki, bache ki banavat pe asar padta hai.

Agar time pe test nahi karaya or ilaaj nahi karaya, to us se bachhe ka vikas uski aadhe se jyada ho jaata hai, uska growth jyada ho jata hai. Us se kuch nuksan ho skte hain. Jaise uski delivery pure 9 mahino se pehle ho skta hai. Quki uska vikas ho gaya hai, body develop ho gayi hai, growth jaldi ho gayi hai to delivery jaldi ho jaane se uske baaki organs develop nahi hote hain. Or bache ke paida hone ke baad health samsya paida ho skti hai.

Dusra hota hai ki growth zyaada ho jaane ki vajah se, delivery agar time pe ho rahi hai, 9 mahino pe ho raha hai, to bacha bhi atak jaata hai. Usko kuch injury ko sakti hai birth ke samay mein. Ya emergency mein operation karna pad sakta hai. Or delivery ke baad bhi bache ka sugar low hone ka risk hota hai. Saans ki taklif hone ka risk hota hai. Or bhi vibhin prakaar ki samasyaen reh sakti hai. Or in sabhi samsyaon se bacha ja skta hai agar hum diabetes ko sahi samay pe diagnose kar len or usko sahi samay pe treat kar len.

Treatment ki jahan tak baat hai, jyadatar jo gestational diabetes hai, kayi bar khan paan me uchit badlav se hi treatment kia ja sakta hai.

Sabko dawaiyon ki zarurat nahi padti hai. Zyaadatar logon ko insulin se hi treatment dia jaata hai. Insulin sabse prabhaavi treatment hai diabetes ka. So, ye bhi misconception hai ki insulin se nuksaan pahunchega bache ko. But sachayi ye hai ki insulin hi sabse acha tarika hai pregnancy mein diabetes ka or sabse asardar tarika hai. Aur ye bache ke blood circulation me nahi aata hai. Mother ke blood circulation me hi reh jaata hai. Tablets se zyaada insulin safe hai.

Sunne ke lia dhanyawad. Apko agar koi or question hai to aap directly contact kar sakte hain is website ke madhyam se ya mere phone number pe.

Dhanywad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Gestational Diabetes treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details