Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Diagnosis Of Heart Attack!

Profile Image
Dr. Ajay Aggarwal Heart SpecialistCardiologist • 23 Years Exp.DM - Cardiology, MD - Medicine, MBBS
lybrate_youtube

Hi, I am Dr. Ajay Aggarwal, Cardiologist. Today I will talk about diagnosis of heart attack. Hum jante hain ki kuch logon ko kabhi-kabhi chest pain hota hai and humein samajh mein nahi aata hai ki Dr ke pass jana hai ki nahi. Heart ka pain center of the chest mein hota hai. Ismein hamare heart me bohot jayada pressure padta hai. Or agar ye pressure shoulder or jaw ki traf radiate ho and 1-2 minutes tak pain hai to ye heart attack ka sign hai. Agar aap ko picky pain hai ya sui ki tarha chubh raha hai to vo heart pain nahi hai. Ismein patient ko bohot jyada sweating hoti hai, dizziness and vomiting hoti hai.

Pain ko ignore na karen and Dr ke pass visit karen. Agar aap ko pressurized pain hai to disprin 325mg 1 tablet immediately le len. Immediately hospital jayein. ECG karayein apna and Dr ki advice leke treatment karayein. Ek aap CPR technique follow karen patient ke liya jismein aap ko apne dono haathon ko use kr ke chest ke middle mein press karna hai. 1 minute mein 100 times ye aap ko karna hai. Is se aap patient ki jaan bacha sakte hain. Hum aap ko medicines and injection ke through treatment dete hain jis se aap ka blood thin ho jaye and angioplasty or angiography ke through treatment karte hain. Agar kisi ko severe pain hai to 2-3 hours golden hours hain and patient ki jaan bachayi ja skti hai ya fir heart permanent damage se bachaya ja sakta hai. Regular sugar and cholesterol test karate rahen. Aise kar ke heart ki problem se bacha ja sakta hai.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Heart Attack treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details