Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 06, 2020
BookMark
Report

Diet

Profile Image
Elite Aesthetic & Cosmetic Clinic0Dietitian/Nutritionist
lybrate_youtube

Hello, 

This is Anshula Singh, dietitian and sport nutritionist, Elite Aesthetic & Cosmetic Clinic, GK-2. Today we will talk about diet. Diet ko leke kuch myths hain. Diet ko myths bhi hain or confused bhi hain log. Ye common myth hai ki diet krna means khana chorna. Diet ka matlab hai ki ek din me apko kitni calorie ki requirement hai plus apki body ka requirement dekha jata hai. Dekha jata hai ki jo aap kha rhen hai vo galat to nhi hai apki body, skin, and ageing ke lia. Log diet to krte hain but vo crash diet hoti hai. Din me khana na khana, kafi ghanto bad kuch khana.

Logon ka myth hai ki din me khana kam khana is called dieting. Agar aap sirf protein rich diet le rhen hain to vo bhi ek crash diet hai. Agar koi bhi chiz jayada consume ki jayegi to vo bhi toxins hi paida krti hai. Log carbs nahi lete. Lekin body ko energy hi carbs se mil rahi hai. Or agar body protein se energy legi to body pehle muscles ko todegi and apko energy degi. Is se muscles lose ka risk hai. Apko ye samjhane ki bhi jrurat hai ki weight lose and fat lose kya hai. Agar aap 5kg weight lose kar rhen hai to weight loose hai, fat loose nahi. Aap crash diet ker ke skin cells, hair cells loose kar rhen hain. Apko balanced diet lena chaiye jisme apko ye pta hona chaiye ki apko kya kahna hai.

Diet me protein, carbs, fat and sare nutrients hone chaiye. Internet pe jab bhi aap kisi diet se related search krte hain to apke pas sare results aa jate hain. But mere paas jo cases aate hain unhe ye nhi pta hota ki breakfast, lunch and dinner me kya consume krna hai. Agar aap diet thik se follow nhi krenge to vo apko unnatural ageing me le jayega. Agar aap calorie maintain krte hain or proper sleep lete hain to hi apko ache results milte hain. Apki body ke tissues repair hona bhut important hai. Cortisol or stress hormone thik hona bhi bhut important hai. Apki skin ka proper breathing hona chaiye. Skin and weight loose ke lia balanced diet bhut important hai. Apko achi diet leni hai but apko pta hona chaiye ki apki limit kya hai. Work-out bhi bhut important hai. Apka diet, exercise and sleep hi apko perfect bnata hai in terms of everything.

Apka healthy lifestyle maintain kerna jaruri hai. Internet pe search kr ke diet lena is not necessary ki vo apki body ke lia thik ho. kyuuki ye body to body vary krta hai. Apko seasonal fruits and vegetables hi consume krne chaiye. Garmiyon me gond ka teera and sattu bhut acha hai apki body ke lia. Winters me aap coconut consume kar skte hain. Like coconut oil cooking me use krna, cocnut ke laddoo khana. Jaggery aap winters me lijiye quki ye skin ke lia acha hai. Apko apne mind and stomach ki connectivity banake rkhna hai. Jo apki body ko suit kar rha hai, apko vo lena hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details