Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Dietary Advise For Kidney Stone Patients

Profile Image
Dr. Shalabh AgrawalUrologist • 24 Years Exp.DNB (Urology), MS, MBBS
lybrate_youtube

Namaskar doston,

Aaj hum ek bahut hi aam topic, aam ek bimari ya aam ek condition jisko hum kidney stones kehte hai aaj hum uske dietary prevention ke bare mein particularly baat karenge. Urine stones, kidney stones gurde ki pathri apne aap mein ek bahut bada topic hai, sab kuch discuss kar pana sambhav nahi hai lekin han aaj main aapko jin logon ko ya jin patients ko kidney stones bante hain, urine ki pathri banti hai unko kaise hum apne dietary precautions se unke banne ke chances kam kar sakte hai iske bare mein bat karenge. Sanshipt mein bataun to kidney stones ek tarah ke mineral deposits hote hai jo hamari kidney blood ko filter karke peshab banati hai usme 1 part liquid hota hai, ek part minerals ka hota hai. Jo minerals hote hai kidney mein vo deposit ho jate hai aur vo stones ka akar lelete hai. To ye stones kahi bahar se nahi aate aapke apni kidney mein khudse bante hai. Acha ek aur badi common si misunderstanding hoti hai ki gallstones aur kidney stones, gallbladder ke stone kidney stone se bilkul alag hote hai. Gallbladder ke jo stones hote hain vo cholesterol ki vajah se bante hain aur uska kaarand pachan kriya ki bimariyon ki vajah se hota hai.

Jo gurde ke stones bante hai vo peshab mein abnormality ke karand hote hai, gurde ki filtering problem ke vajah se hote hai aur iska gallstone se koi bhi talluk nahin hai. To hum agar baat kare samanyata kis tarah ki kidney stones jo gurde ki pathri hoti hai vo common tareeke ki hoti hain jaise calcium oxalate, calcium phosphate, uric acid, triple phosphate, cystine stones aur kayi tarah ki ye dawaiyan jinse ki jinke pathar ban jate hai but ye condition bahut rare hai. To hum inko alag alag tareeke ke mineral deposit jo hote hai unke unko kis tarah ka stone hai ye janna chahte hai taki usi tarah se hum precautions le sake. Aaj mai jo aapko precautions bataunga vo samanyata general sabhi tarah ke kidney stones ke liye hai aur agar hum particular way baat karein to usme kisme particularly kaunsi vajah se kis tarah ke stones prevent kar sakte hai ye bhi kuch batane ki koshish karunga. To diet mein sabse zaroori cheez hai liquids, hume din mein kareeb 6-8 glass pani lena chahiye, samanyata jo ek glass pani hota hai 200-250 ml ka hota hai aur aisa har ghante jab tak aap jage huye hai, jab aapko yad aata hai to har ghante mein agar 1 glass piyenge to sham tak rat tak aapke 6-8 glass pani complete hojaenge. Zaroori hai ki aap pani ya liquids uniform forms mein le matlab har samay ek tarah se le yeh nahi ki aapne apna kota pura subah karlia aur din mein apne usko chord dia toh vo koi faida nahi dega.

Dusra liquids ya fluids aap sabse best to cheez hai ki aap pani hi le kyunki iske alawa jo bhi cheez lenge usme namak, energy, carbon dioxide, acid products yeh sab cheeze shareer ke andar jaati hai jo faide ki jagah nuksan bhi kar sakti hai. To islye sabse jaruri cheez hai ki aap liquids le, liquids mein pani le. Iske alava dusri cheez jo hum bat kar sakte hain jo dietary prevention ke liye chahiye vo hai ki aapko apne diet mein oxalates ki matra kam leni chahiye. Oxalate sabse common calcium oxalate ke stone hote hai hamare urine vale stones jo bante hai aur agar hum oxalate ki matra kam lenge to inke banne ke chances kam hojate hai. Oxalates jo hamare commonly diet se aate hai log baat karte hai ki jinko kidney ke stone hogaye hai unko tamatar nahi lena chahiye, bhindi nahi chahiye, jo chote beej vale fal ya sabji hai vo nahi lene chahiye kuch hadd tak ye bat sahi hai kyunki inme oxalate ki matra zada hoti hai lekin agar aap soche ki inn cheezo ko band karke mai stone nahi banenge mere shareer mein to aisa nahi hai.

Shareer ko ek balanced diet important hai aur vo balanced diet shareer ko leni chahiye islye jo mai ab aapko cheeze bata raha hoon inko agar balanced way mein lete hai to theek hai lekin agar kisi ki matra adhik lete hai to usko kam karne ki zarurat hai. Oxalate high quantity mein paye jaate hain chai, coffee, dry fruits, hare patte wali sabjiyan, tamatar, baigan, bhindi: ye rich sources hai oxalate ke, inme se agar aap kisi bhi cheez ka atyadhik sevan karte hain to usko kam karne ki jarurat hai, diet se inn cheezon ko khatam karne ki jarurat nahin hai. Dusri jo hum diet mein cheez jo hamari badi common si cheez hai vo hai sodium ka intake, sodium directly hamara namak se aata hai, jo hum khane mein dalte hai ya salad- sabjiyon mein dalte hai, iske alawa indirectly jo hum achar vagrah use karte hai ya processed foods use karte hai, canned foods jo aate hai inn sabme namak ki matra bahut adhik hoti hai. To kidney ke stones banne mein sodium ka bhi ek bahut mukhya role hai. Aapka din bhar ka sodium ka consumption 5gm se zada nahi hona chahiye aur jinko stones bante hai unko apne khane mein sodium ki, namak ki indirectly ya direct sources ki matra kam karni chahiye.

Teesri cheez jo hai stones banne mein jo khastor se uric acid stones jo bante hai unme ek bahut important role hai jo aap animal proteins lete hai. Toh hume apni diet mein animal proteins kam karne chahiye, animal proteins kisi bhi animal sources se to aate hi hai jaisi ki milk and milk products, iske alawa jo aap meat lete hai chahe vo beef ho, pork ho, chicken ho everything har ek cheez mein animal proteins jo jaate hain vo shareer mein uric acid ki matra bhi badhate hai aur stones ko banne ke liye probe bhi hote hai, help karte hai stones banne ke liye. To animal proteins ki matra apne diet se kam karni chahiye lekin sath ki sath protein shareer ke liye bahut zaroori cheez hai to isko aapko dusre source se compensate karna padega jaise ki soya and soya products jo aapke liye calcium bhi provide karte hai aur proteins bhi provide karte hain high quality mein, legumes, matar, peas, beans, rajma, lobia ye sab cheezon mein protein adhik matra mein hote hai aur harmful nahi hote. Iske alava calcium, calcium ek bahut jaruri cheez hai, shareer ki requirement hai, haddiyon ke majbut karne mein kam aata hai aur ek khoon ka ya shareer ka ek bahut important mineral hai.

To islye jaisa ki common myth hai ki calcium nahi khana chahye stones mein to ye cheez sahi nahi hai. Aapko calcium lena chahye jo shareer ke liye bahut zaroori hai aur ek moderate amount mein agar aap calcium lenge to vo stones ko banne mein bhi prevent karta hai. Kaise? Kyunki jo aap calcium diet mein lete hai vo jo hamari diet mein oxalate hote hai unse bind karleta hai, jud jata hai aur salt bana deta hai, ye salt intestine se nikal jate hai. Agar aap calcium nahi lenge to vo oxalate free hota hai aur vo absorbe hoke stone banane ke liye kargar hota hai. To isliye zaroori hai ki aap moderate amount mein calcium le, sahi tarah ka calcium le, koshish kare ki natural calcium le aur supplements kam le. Natural calcium aajkal aapke fortified foods se aata hai jaise ki bread, milk, cereals, corn flakes iske alava beans, milk ya milk products inn sab mein bhi calcium ki matra achi hoti hai. To ye sab cheeze moderate quantity mein leni chahiye aapko.

Calcium diet se bilkul band nahi karna chahiye. Ek aur zaroori cheez hai gurde ki pathri kam karne ke liye vo hai ki charbi, obesity ya fat intake ye bhi aapko kam karna chahiye, iske liye batane ki zarurat nahi hai ki aapko khane mein charbi vali cheeze kam karni chahiye aur apne shareer ka vajan kam karna chahiye. Last jo cheez main kehna chahunga vo hai ki fresh fruits khastor se citrus fruits jinme ki citrate ki matra hoti hai, citrate ek naturally occurring padarth hai jo ki stones banne mein stones banne ke liye inhibitor hai ya stones banne se rokta hai, hamari kidney mein, hamari body mein ye produce hota hai aur aap sources se lete hai vo bhi urine mein secrete hota hai aur stones banne mein, stones banne ke liye ye prevention karta hai. To dosto ye tha detail jo hum jin tarah se hum stones banne ke liye uske percentage, uske recurrence ki chances hum kam kar sakte hain. Ek bar dubara se summarise karna chahunga to daily 6 - 8 glass pani uniformly, kam protein ya moderate quantity mein proteins, moderate quantity mein calcium, kam sodium, kam oxalate aur ek balanced healthy diet containing lots of fruits and vegetables aapko leni chahiye to prevent kidney stones.

Dhanyvad

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Kidney Stones treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details